August 2007


Aaj barish hoo rahi thii,
aaj phir in boondon main yad thii thumhari
na jane kya kashis the rimjhim in barish ke boondon main
jo mujhe kheech le jatee hain tumhare pas
ye janta hoon ki nahi chatee ho tum mujhee
par zaroori to nahi ki is bat ko main manoo bhi,
Jo kabhi milogi to poochunga tumse
kya ye barish tumhe bhi satatee hain
pyar na sahi nafrat se bhari
humari bhi kuch yadeen latee hai.

Bhagwan ke naam pe 1 patni dede…
Apni nahi toh dusre ki dede…

Bhagwan tujhe 1 kay badle3 dega
Anurag ki tarah Prerna kay saath Aparna aur komolika free dega…
Baithe tere khayalon mein,
Kore kagaz pe likh dala tera naam…

Tasvir bhi utaar dali,Aur likha yeh paigam…
Zinda ya Murda pakdnewale ko 5000/- inaam…
Macchar ne jo kata… dil main mere junoon tha.
Khujli hui itni… dil be sukoon tha.

Pakada to **** diya yeh soch kar ki….
Sale ki ragon main apna hi khoon tha…
Khuda kare tujhe har jagah se satkar mile,
Mujh se bhi acche yaar milen.

Rakhi ko teri girlfriend tujhe rakhi bandhe,
Aur tujhe zindagi bhar us se behan ka pyar mile…
Aapke hi charche har gali mein hain,
Har ladki ke dil mein aapke liye pyar hai.

Ye koi chamtkar nahi,Time hi aisa hai…
kyonki kuch hi dino me RAKHI ka tyohaar hai…
har khushi ko teri taraf moor doo.
Tery liye chand taare tak toor doo.

khushiyo k darwazey tere liye khol doo..
Itna kaafi hai ya do char or jhoot bole doon….
Jab jab ghire badal teri yaad ayi,
Jhom ke barsa sawan teri yaad ayi,

Bhiga main phir bhee teri yaad ayi,
Ab nahin raha jata, CHATRI LAUTA DE BHAI…
Ek ladki thi dewani si.
Mob lekar chalti thi, nazre jhukake,

Mob mein kuch karti thi. Jab bhi milti thi mujhse,
Yehi pucha karti thi… Ye chalu kaise hota hai?
Yusuf ka husn, Zulekha ka ghumaar dekha hai,
Kuch is tarah se Haseenon ka pyaar dekha hai,

Unhe khilane pilaane main hui hai yeh haalat,
Kasm khuda ki..Cinema bhi udhaar dekha hai…
Industrian sari mere yaar khaa gaye,
Meri Sari jaydaaad rishtedar khaa gaye,

Marne Ke baad bhi unho ne ki meri saath cheating,
Banaye mazar to minaar kha gaye…….

Yaad ata hai bohut woh guzra hoa zamana
Woh School ki life woh bachpan ka yarana
 
Left rite kehtay hoey hathon ko uthana
woh Iqbal ki dua woh asambli ka taranaa
 
Woh ghanti bajtay he classes say nikalna
woh lunch mai ja kar cholay chaat kahana
 
woh gurmiyon ki chUTion mai ghumnay ko jana
woh mastian karna aur mouj manana
 
woh tapti hoi dhoop mai cricket khailna
woh ratoon ko der tuk jagna
her khuff say azad zindagi guzarna
woh baat baat par Ammi say zid karna
woh ghaltioon pay maasomiat say sorry karna
woh ghusay mai Ammi ka dantna
aur raat mai Abbu say shikayetain karna
woh har shaam ko apnay time par ghar say nikalna
aur mohallay mai cricket khailna
maghrib hotay he ghar ko loutnaa
werna dadi ji say jhaar sunnna
 
woh dadi ko baat baat par satana
aur dadi ka shafqat say samjhana
 
woh raat ko homework k waqt bahanay karna
aur class mai miss ka murgha banana
 
woh subha mai Ammi ka humko UThana
aur hamara Ammi ko kahaniya Sunanaa
 
Late school pohchnay par Madam ka jhaar pilana
aur kehna Madam ka kal Ammi ko bulana
 
woh Ammi Abbu ka be ghurz pyar
woh chacha phopho ka dular
woh sharatain woh kahaniyan
lougoon ka jin ko kehna shetaniyan
 
mour kar dekhta hoo tu sochta hoo k
kiya zamana tha woh jo guzar gaya
 
woh zamana kitna suhana tha
waqai kia zamana tha waqai kia zamana tha

May sagar hon mere hulchul tum ho,
May sapna hon mere tabeer tum ho,
May aqs hon mere haqiqat tum ho,
May saaya hon mere surat tum ho,
May sahil hon mere aas tum ho,
May laab hon mere baat tum ho,
May aankh hon mere roshni tum ho,
May tab hon mukammal jab saath tum ho…

Betaab tamanao ki kasak rehny do,
Manzil ko panay ki kasak rehny do,
Ap chahay raho nazron say door,
Par mere ankhon mai apni ek jhalak rehny do.

loota kei dil bas tumhe he yaad karte hain
kahan ho tum chale aao,yahi fariyaad karte hain

tanha hai zindagi, baarish gamon ki sahi
ho pathar dil ya bewafa, yahi to bas khabar nahi

raat bhar soye nahi, din mei jagaya yaadon nei
dil ki chahat ka izehaar kiya karte hain aankho sei

Koi to aisi shaam ho, siskiyon ki na aawaz ho
muskura kar do dil miley aur pyar he pyar ho

Raasta koi kaamyabi ka mil jaaye to chalun,
Manzil koi mujhko nazer aaye to chalun,
Hargiz na main rukunga, chalna hai mujhe lekin,
Kaante meri raahon se nikal jaaye to chalun.

Next Page »

Our Privacy Policy recognizes that your privacy is important.