January 2008


Ajeeb si kashish hai hum dono ke dil mein,
Jo ek duje ke yaadon mein hum dono khoye rehate hai,
Dilon par to pyar se pyar ki huqumat hai,
Bas dur rehakar bhi yahi ek dastane zindagi ji rahe hai.

Is tarah se kuch woh mere dil mein shamil hai,
Sirf woh hi dil ke aas paas hai ab bas yehi ehsaas hai,
Duniya ke is bheed mein tanha to hum rehate hai,
Magar yeh duniya kya samjhe ki khayalon mein woh bhi to mere saath hai.

Mil gaye ho tum to mil gayee hai zindagi bhar ka sukoon,
Majboori aur farz ki zanjeer mein jakade hai hum aur jakade ho tum,
Magar mere har dard aur aah woh hi ek hai jo samajhte hai,
Phir bhi unke ek jhalak ke liye yeh aankhen hai jo tarasti hai.

Yaad teri aaye tu phir kya karoonga main
tanhai mein beth kar phir rooya karoonga main

aghar naseeb ney kardiya eik dosre se juda hum ko
raaton ko na phir sooya karoonga main

zahar peeta jaoonga aansoo ka tamaam umar
aur tujh ko sada khush rehna ki dua karoonga main

aghar mil gayee himmat mujhe sambhalne ki
toote huwa dil ko phir milaya karoonga main

Syed Bilal

itna chaaha tha tujhe meine,
paane ki dua kee ti khudaa se,
paakar aisa dard diya hai meine,
ab bhulne ki dua maangta hu rab se,
khuda bhi kaise rootha hai mujse,
yaadein teri aur dilaata hai muje,

raah ab dekhta hoon mein,
ajaaye tu kabhi kahin se,
sookh gayi ab aankhen humari,
dard hota nahi ab kisi se,
khuda bhi kaise rootha hai mujse,
ek pal ko baras banata hai aise,

mehfile bhi lagati hai sooni,
yadon mein teri jab doob jata hoon mein,
tanhayee se kaapta hoon aise,
khudko mujrim jab samajta hoon main,
khuda bhi kaise rootha hai mujse,
adhero mein mujhko khada karta hai aise.

soorat main talaash ta hoon teri…
haseen teri milti kisi mein…
nazron mein basti hai tu kisi ke…
kuch adaaon mein pata hoon tuje…
khuda bhi kaise rootha hai jahan se…
rooh teri kyun na daali kisi mein

Warm Regards,

(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ — Dashrath Bhardwaj

jo raayon ko hum dekha karte hain sapne;
subah hote hi wo nahin rahte apne.

khiza ke darakhton ke patton ki manind;
juda ho gaye wo sabhi jo they apne.

samandar jinhen log kahte they saare;
suna hai ke wo bhi lage hai tarasne.

“shamim” aaj-kal mere hisse ke baadal;
kisi ki zamin par lage hain barasne.

devendra

Kis tarah ye Gam bhuul jaayein ham,
Voh judaa huaa iss bahaar mein,

Din guzar gayaa aitbaar mein
Raat kat gayi intezaar mein,
Voh mazaa kahaan vasl-e-yaar mein,
Lutf jo milaa intezaar mein,
Un kii ikk nazar kaam kar gayi,
Hosh abb kahaan hoshiyaar mein,
Mere kaase mein kaayenaat hai,
Main huun aap kay iKhtiyaar mein,
Aankh tou uthii phuul kii taraf,
Dil ulajh gayaa husn-e-khaar mein,
Tum say kyaa kahein kitane Gam sahe,
Ham nay be-vafaa tere pyaar mein,
Fikr-e-aashiyaan har Khizaam kii,
Aashiyaan jalaa har bahaar mein,
Kis tarah ye Gam bhuul jaayein ham,
Voh judaa huaa iss bahaar mein,

shayari compiled by,
jass_cancerian

Kisi ko chhodna ho tou mulaakatein badi karna,

Diyon ka kadd ghataane kay liye raatein badi karna,
Badey shehron mein rehna ho tou baatein badi karna,
Mohabbat kay gharon kay kachepan ko yeh kya samjhein,
Inn aankhon ko bass aataa hai barsaatein badi karna,
Mohabbat mein bichhudney ka hunnar sabb ko nhi aataa,
Kisi ko chhodna ho tou mulaakatein badi karna,

mail compiled by,
jass_cancerian

« Previous Page

Our Privacy Policy recognizes that your privacy is important.