Mon 13 Apr 2009
Mat poocho ye mujhse ke kab yaad aate ho
Jab jab saansein chalti hain bahaut yaad aate ho
Neend mein palkein hoti hain jab bhi bhari
Banke khwaab baar baar nazar aate ho
Mehfil mein shaamil hote hain hum jab bhi
Bhird ki tanhayon mein her baar nazar aate ho
Jab bhi socha ke faasla rakhoon main tum se
Zindagi ban ke saanson mein sama jaate ho
Khud ko toofaan banaane ki koshish to ki
Ban ke saahil apni aagosh mein sama jaate ho
Chaha na tha main ne is paheli mein uljhna
Her uljhan ka jawab ban ke ubhar aate ho
Suraj ki roshni,chanda ki chandni
Aasmaan ko dekhta hoon main jab jab
Tumhari kasam bahaut bahaut yaad aate ho
Ab na poochna mujhse ke kab kab yaad aate ho.
From: Rohit Kapoor (Kapoor_7738@Rediffmail.com)
May 1st, 2009 at 5:07 PM
Accha laga..
Valo legeche. (in bengali)
July 6th, 2009 at 4:04 PM
MOhabbat ke SAPNE dikhate bhut hain
Wo raato me hmko JAGATE bahut hain
Me ankho me KAJAL lagau to kaise
In ankho ko log RULAATE bhut Hain..