Wed 9 Jun 2010

Pareshaan thi Pappu ki wife
Non-happening thi jo uski life
Pappu ko na milta tha aaram
Office main karta kaam hi kaam
Pappu ke boss bhi the bade cool
Promotion ko har baar jate the bhul
Par bhulte nahi the wo deadline
Kaam to karwate the roz till nine
Pappu bhi banna chata tha best
Isliye to wo nahi karta tha rest
Din raat karta wo boss ki gulami
Appraisal ke ummid main deta salami
Din guzre aur guzre fir saal
Bura hota gaya Pappu ka haal
Pappu ko ab kuch yaad na rehta tha
Galti se Biwi ko Behenji kehta tha
Aakhir ek din Pappu ko samjh aaya
Aur **** di usne Appraisal ki moh maya
Boss se bola, “Tum kyon satate ho ?”
“Appraisal ke laddu se buddu banate ho”
“Promotion do warna chala jaunga”
“Appraisal dene par bhi wapis na aunga”
Boss haans ke bola “Nahi koi baat”
“Abhi aur bhi Pappus hai mere paas”
“Yeh duniya Pappuon se bhari hai”
“Sabko bas aage badhne ki padi hai”
“Tum na karoge to kisi aur se karaunga”
“Tumhari tarah Ek aur Pappu banaunga”
June 26th, 2010 at 3:58 PM
Nice yaar pareshaan pappu ki kahani,is osam yaar very nice
June 27th, 2010 at 1:11 PM
Pareshaan papu it’s too good yaar.
July 1st, 2010 at 6:15 PM
Bilkul satya vachan hai
July 1st, 2010 at 6:16 PM
Bilkul satya vachan hai bhai
July 3rd, 2010 at 8:43 AM
Pappu ki kahani to jawani diwani badi mastani hai.
I like pappu ki kahani
April 2nd, 2011 at 12:14 AM
Pappu perashan kar diya teri kahani ne mughe haran. Din chak
April 17th, 2011 at 7:39 PM
yaar pappu ki kahani bahut hi zabar dast yaar. maine to apne sabhi dosto ko msg k thru send kar di.
May 1st, 2011 at 3:44 PM
its very nice………….maine to apne sabhi friends ko sms k through send kar diya hai………….
May 1st, 2011 at 3:44 PM
its very nice……….i like it