Sun 20 Apr 2008
sochta hon iin sagar ki laheronko dekhkar,
kyun ye kinarese takarakar laut jati hai?
karti hai kinarese bewafai
ya fir sagar se wafa nibhati hai……
Waqt guzarta raha par saansein thami thi,
muskura rahe the hum par aankhon mein nami thi,
saath humare ye jahan tha,
par na jaane kyun aapki kami thi.
Kisi mod par hum aapko khone nahi denge,
Juda hona chaho to bhi hone nahi denge.
Chandani rato me aayegi meri yaad,
Meri yaad ke woh pal aapko sone nahi dengE
Kashti behti hai kinaare ki talaash mein,
log milte hain pyar ki aas mein.
hum roz milte nahi aapse,
par kuch waqt zarur bitate hain aapki yaad mein.
