Wed 28 Apr 2010
Dil abhee pooree tarah TooTaa naheen
Doston kee meharbaanee chaahiye
Aap ne jo gham diyaa hai shukriyaa
Pyaar kee kuchh to nishaanee chaahiye
`
Unhone vaadaa kiyaa thaa vo aayenge khwaab men
Ab to maare khushee ke neend hee naheen aatee
`
Roothne waalon se koyee jaakar poochhe
Wo khud hee roothe rahe yaa hamse manaayaa na gayaa
`
Na unko auron se fursat na apne gham se ham khaalee
Chalo achhaa bahaanaa hai na wo khaalee na ham khaalee


May 5th, 2010 at 1:38 PM
Pyaar kamjor dil se kiya nahi ja sakta,
Zeher Dushman se liya nahi ja sakta,
Dil mein basi hai ulfat jis pyar ki
us ke bina jiya nahi ja sakta.
Saath rehte rehte yuhin waqt guzar jayega
Door hone ke baad kaun kise yaad aayega
Jee lo ye pal jab hum sath hai
kal ka kya pata, waqt kahan le jayega
Zindagi nahin humein doston se pyaari,
Doston ke liye haazir hai jaan hamaari,
Aankhon mein hamaari aansoon hai to kya,
Jaan se bhi pyaari hai muskaan tumhaari !
Jasbaate ishq naakaam naa hone denge,
Dil ki duniya mein kabhi shaam naa hone denge,
Dosti ka har ilzaam apne sar par le lenge,
Par dost hum tumhe badnaam na hone denge !
Dosti ek saahil hai tufaano ke liye,
Dosti ek aaina hai armaano ke liye,
Dosti ek mehfil hai anjaano ke liye,
Dosti ek khawaahish hai aap jaise dost ko paane ke liye !!
Tujhe dekhe bina teri tasweer bana sakta hoon,
Tujhse mile bina tera haal bata sakta hoon,
Hai meri dosti mein itna dum,
Apni aankh ka aansoon teri aankh se gira sakta hoon !!
Aye dost teri dosti uss ghadi tadpaayegi,
Jab zindagi kahegi alvida, Aur maut bhi naa aayegi ! �
kaun kehta hai ishq me bas ikraar hota hai
kaun kehta hai ishq me bas inkaar hota hai
tanhai ko tum bebasi ka naam na do
kyunki ishq ka doosra naam hi intezar hota hai
dete ho kyun ye dard bus humi ko
kya samjhoge tum in ankho ki nami ko
yun to honge lakho deewane is chand kay
chand kya mehsus karega ek tare ki kami ko
Kuch nasha to aapki baat ka hai,
kuch nasha to dheemi barsaat ka hai,
humein aap yun hi sharabi na kahiye,
is dil par asar to aap se mulakat ka hai
Mb.9795276093
May 5th, 2010 at 1:41 PM
Kuch Din Pehle Mohabbat Ko Mohabbat Samjha Hum Ne..
Muhabbat Hui Mohabbat Ko Apna Samjha Hum Ne..
Mohabbat Main Is Qadar Madhosh Ho Gaye..
Is Ki Bewafai Ko Wafa Samjha Hum Ne..
Zakham Is Qadar Mohabbat Ne Diye..
In Zakhmo Ko Phool Samjha Hum Ne..
Mohabbat Ki Chikh O Pukaar Is Qadar Thi..
Ass Pass Ke Logo Ki Roone Ko Asna Samjha Hum Ne..
Mohabbat Ki Shidat Main Aankhen Iskadar Chandiya Gaye..
Har Chamakti Hui Chiz Ko Sona Samjha Hum Ne..
Dewaana Is Qadar Mohabbat Ne Bannaya Humko..
Apno Ko Begana Aur Un Ko Apna Samjha Hum Ne..
Mohabbat Ki Yaadein Dil Par Kuch Yon Naksh Kar Gaye..
Bhulane Ki Khoshish Main Khod Ko Hi Bhula Diya Hum Ne..