arey har baat ka jawaab diya nahi jaata
vishwas ho to dosti mei shak kiya nahi jaata
pyar ya umar bhar saath nibhane jaisa sawal
bina soche samjhe har ek sei kiya nahi jaata

jaisi ho hawa waise he rukh kar lena
pyar se jo bulaye ijjat usey baksh dena
apni aur se na karna kabhi koi gustakhi
auron ki bhulon ko jayada aihmiyat na dena

koi jo kare bewafai tum vafa he bartana
doston ki madad sei kabhi peeche na hatna
karke burai kisi ki apni nazar se na girna
baaki hai apna apna naseeb yaaron
jo likha hai usney wo humhe hai bhukatana.

Hindi Shayari