Dard-e-dil Shayari


Dard apanaataa hai paraa_e kaun
kaun sunataa hai aur sunaa_e kaun

kaun doharaa_e vo puraanii baat
Gam abhii soyaa hai jagaa_e kaun

vo jo apane hai.n kyaa vo apane hai.n
kaun dukh jhele aazamaa_e kaun

ab sukuu.N hai to bhuulane me.n hai
lekin us shaKhs ko bhulaa_e kaun

aaj phir dil hai kuchh udaas udaas
dekhiye aaj yaad aa_e kaun

Tumhari yad dil se jane nai denge,
tumare jaisa dost khone nai denge,
sharafat se contact me rehna ,
varna itna marenge aur rone bi nahi denge

Ban kay khak jab mitti mai mil jaungi ik din
 
teri chaah main had say guzar jaungi ik din
pyar hota hai kya yeh dikhaungi ik din
 
teri sangdili ko sehtay sehtay
main jaan say apni guzar jaungi ik din

apni sari chahtain tujh pay waar kay
pyar karna tujhay bhi sikhaungi ik din

jee na payega tu bhi ho kay juda mujhsay
aisa pyar tujh say kar jaongi ik din

andheron mai hi dhoondhta reh jayega mujhko
aisi berukhi dikhlaungi ik din

kho kay mujh ko pachtaogay bohat sanam tum
wafa aisi tum say kar jaoongi ik din

aisi deewangi say chahoongi tujhay
bhool jaogay tum bhi sara jahan ik din

jaan teri bhi labon pay aa jaygi
ban kay khak jab mitti mai mil jaungi ik din

Ek Bewafa Ko Hum Ne Is Dil Mein Jaga Di Thi
Khuwabon Ki Duniya Apni Us Se Hi Saja Di Thi

 

Chaha Tha Us Ko Hum Ne Khud Se Bhi Bohat Barh Kar
Us Chahat Mein Hum Ne Ye Hasti Hi Mita Di Thi
 
 
 Maloom Nahi Tha Hum Ko Woh Bewafa Bhi Hoga
Us Per Bharosa Karke Khud Ko Hi Saza Di Thi
 
 
Socha Tha Sath Mil Ke Kaatenge Zindagi Ko
Us Ne To ek Pal Main Har Baat Bhula Di Thi
 
 
Kaisa Sitam Hai Dekho Woh Kab Se Judda Hai Mujh Se
Apni Zindagi Jis Ka Saya Sa Bana Di Thi
 
 
Kiya Tha Us Per Bharosa Kyun Hadh Se Barh Kar
Us Ki Jafa Ne Dil Mein Ek Halchal Si Macha Di Thi

baraso.n ke baad dekhaa ik shaKhs dil_rubaa saa
ab zahan me.n nahii.n hai par naam thaa bhalaa saa

abaruu khi.nche khi.nche se aa.Nkhe.n jhukii jhukii sii
baate.n rukii rukii sii lahajaa thakaa thakaa saa

alfaaz the ke jugnuu aavaaz ke safar me.n
ban jaaye jangalo.n me.n jis tarah raastaa saa

Khvaabo.n me.n Khvaab us ke yaado.n me.n yaad us kii
niindo.n me.n ghul gayaa ho jaise ke rat_jagaa saa

pahale bhii log aaye kitane hii zindagii me.n
vo har tarah se lekin auro.n se thaa judaa saa

agalii muhabbato.n ne vo naa_muraadiyaa.N dii.n
taazaa rafaaqato.n se dil thaa Daraa Daraa saa

kuchh ye ke muddato.n se ham bhii nahii.n the roye
kuchh zahar me.n bujhaa thaa ahabaab kaa dilaasaa

phir yuu.N huaa ke saavan aa.Nkho.n me.n aa base the
phir yuu.N huaa ke jaise dil bhii thaa aabalaa saa

ab sach kahe.n to yaaro ham ko Khabar nahii.n thii
ban jaayegaa qayaamat ik vaaqi_aa zaraa saa

tevar the beruKhii ke andaaz dostii ke
vo ajanabii thaa lekin lagataa thaa aashnaa saa

ham dasht the ke dariyaa ham zahar the ke amrit
naahaq thaa zo.Num ham ko jab vo nahii.n thaa pyaasaa

ham ne bhii us ko dekhaa kal shaam ittefaaqan
apanaa bhii haal hai ab logo ‘VIRGO’ kaa saa

From: Soeraj Raghunath

Aaj wo hi nahin mere paas.

Har pal har lamha karte the jinhe hum yaad,
kabhi sirf kabhi kabhi hoti thi jisse baat.
Aaj wo hi nahin mere paas.

Jiski baate soch kar apni tanhai ko bhuljata tha,
jinhe yaad kar ke kabhi hasta tha to kabhi udaas hota tha.
Aaj wo hi nahin mere paas.

jiske ane ki khushie se dil machalne lagta tha,
jiske na ane ke gum se dil bhar ata tha.
Aaj wo hi nahin mere paas.

jiski har ek muskurahat par hazaar asu the qurbaan,
jiski ek khushie ke liye har janam tha qurbaan.
Aaj wo hi nahin mere paas.

Bas ek ehsaan karde wo mujhpe aaj.
Wo yaade wo kuch baate, sirf unhe rehne de mere paas.
Unke siwa aaj kuch bhi nahin mere paas.

 
Jab do dill milte hai to kuch dil toot bhi jate hai,
Naye naye sapne dekhte hai log to kai sapne toot bhi jate hai.

Ye maloom hai mujhe to kyu kisi se pyaar kare,
kyu apna mohobbat ka izhaar kare.

Apni khushia ke liye kyu kisi ka jeevan barbaad kare
Apni muskurahato ke liye kyu kisi ko rula de.

Kyu kisi deewane ko wo din dikhaye jo maine khud dekha tha kabhi.
Kyu kisi ko apna bana le jiske sahare jita hai koi.

ARZU THI TERI BAHON ME DAM NIKLE KASOOR TERA NAHI BADSNEEB HUM NIKLE
JAHA BHI JAYE KHUSH RAHE TU SADA DILE SE MERE YAHI DUA NIKLE
MERE HONTHON KI HASI TERE HONTHON SE NIKLE TERE GAM KA DARIYA MERI ANKHO SE NIKLE YE ZINDGI SADA TUMHE HASATI HUI NIKLE AGAR CHAHE TO HUMEN RULATI HUI NIKLE AGAR ZINDGI MED JINA PADE KABHI TERE BIN TO TERI MOUT SE PEHLE ARTHI MERI NIKLE ARZOO THI TERI BAHO ME.

Ansoon Kyun Nahi Rukte Mere
Dard Kiun Nehi Kam Hota Mera

Ansoon Ki Barish Main Kyun Dooba Rehta Hoon
Tanhai Main Kyun Rota Rehta Hoon

Na Jeta Hoon Na Marta Hoon
Us Ki Yaadon Main Rota Rehta Hoon

Pata Hai Wo Kabhi Nehi Milay Gi Mujhe
Phir Bhi Us Ka Intazar Rehta Hain Mujhe

Usay Bhool Kar Kasi aur Ko Appna Banana Cahata Hoon
Per Koi Muj Jase Badnaseeb Ko Apnana Nahi Cahata Hai

Har Koi Kahta Hai Main Tere Saath Tere Har Muskil Main Saath Doon Ga
Waqt Anay Per Har Koi Mun Mor Kyun Leta Hai

Jab Mujhe Kisi Kay Saath Ki Zarrort Hoti Hai
To Mujhe Koi Saath Kyun Nahi Deta Hai

Ansoon Ki Barish Main Chor Kar Kyun Chala Jata Hai
Jis Per Yaqeen Karta Hoon Wohi Kyun Deta Hai Dhoka

Jise Appna Kahta Hoon Wo Mujhe Appna Kyun Nahi Samjhta Har Koi Ata Hain
Ek Naya Ghum Da Kar Kyun Chala Jata Hai Mujhe

Ansoon Kyun Nahi Ruktay Mere
Dard Kyun Nahi Kam Hota Mera

Hamari Aankh Mai Paani Boht Hai

Hamari Aankh mai Paani boht hai
Ke is Darya mai Tug-Yaani boht hai

Ujarr ker Nahi Bhoola yeh Tujh ko
Hamein is Dil per Hairani boht hai

Suna hai Be-Sabab Hum se Bicharr ker
Tujhe Ahsaas-e-Nadaani boht hai

Najane konsi Khubi hai Tujh mai
Ke Dunya Teri Deewani boht hai

Mohabbat Soch ker karne k is mai
Sukoon kam hai Pareshani boht hai

Falak per b Tujhe Dhoonda hai Ae Hamdam!!
Zameen ki Khaak b chaani boht hai

Dard apnaataa hai paraaye kaun,
Kaun suntaa hai aur sunaaye kaun,
Kaun dohraaye puraani baaten,
Gham abhi soyaa hai jagaaye kaun,
Vo jo apne hain, kyaa vo apne hain,
Kaun dukh jhele, aazmaaye kaun,
Ab sukun hai to bhoolne mein hain,
Lekin us shakhs ko bhulaaye kaun,
Aaj phir dil hai kuchh udaas-udaas,
Dekhiye aaj yaad aaye kaun,
Dard apnaataa hai paraaye kaun,
Kaun suntaa hai aur sunaaye kaun,

« Previous PageNext Page »

Google