June 2007


1..Itna bhi na rootho yar, k ye mera dil bhi tut jaye,
ham itne bedard nahi k, aapko dard deke kush ho jaye.

2.. Wazood na ho to hasti kis kam ki, maza na ho to masti kis kam ki,
yad aapki aaye aur ham sms na kare, to fir ye dosti kis kam ki..

3.. Har phul khushbudar nahi hota, har pathar chamakdar nahi hota,
dosti sochkar karna dost, kyok har dost ham jaisa dildar nahi hota..

4.. Badi muddat se chaha hai tujhe, badi duaon se paya hai tujhe, tujhe bhulane ki sochu bhi to kaise, kismat ki lakiro se churaya hai tujhe..

5.. Khuda se thoda raham kharid lu, tere zakhmo ka marham kharid lu, agar bik jaye meri khushiya kahi to teri zindgi k sare gam kharid lu..
SMS Shayari

Haanstay Haanstay Roo Perhty Thi …
Kitni Pagal Wo Larki Thi……
Us K Hoont To Chup Rehtay Thay ……
Aankho Se Baatain Karti Thi……
Chat Per Dhoop Mian Baithay Baithay……
Din Bhar Wo Sapnay Bunti Thi ……
Uljhi Yaadain Suljhanay Main …..
Saari Raat Ganwa Dete Thi ……
Kitna Tha Thehraoo Us Main …….
Lekin Wo Kitni Gehri Thi ……
Ek Din Chaltay Chaltay US Nai ……..
Mujh Se Koi Baat Kahi Thi …….
Aur Phir Raasta Ek Naya Tha …….
Us Ki Manzil Aur Koi Thi ……
Bilkul Waisay Phool Khilay Hain …….
Jaisay Wo Haansty Rehti Thi …….
Aab To Bhool Giya Houn kashif……
Us Per Ek Ghazal Likhi Thi…….

Ek raat huvi, ek subah huvi,
Phir us subah ki raat huvi,
Haasil na huva kuch bhi abtak,
Bas umr yunhi barbaad huvi,
Koi naam nahi, kuch kaam nahi,
Bechain hoon main araam nahi,
Khwaab to dekhe kai magar,
Sach karna bhi aasaan nahi,
Milna jo chaha khushiyon se,
Mayoosi se mulaaqaat huvi,
Haasil na huva kuch bhi abtak,
Bas umr yunhi barbaad huvi…

Kaho na ..
  
  Kuchh pal saath chale to jaanaa,
Rastaa hai jaanaa pehchanaa .
    Saanso ko sur de jaataa hai,
Tera yo.n sapano mai.n aanaa.
  Maine jatan kiye to lakho.n
Mann ne meet tumhi ko maanaa
    Ab to haath thhaam lene do
Aur kaho na , na na , na na !
  
  Kuchh kaho na !

 Sau janam ka saath apna,
Sans ka dhadkan se jaise,
Aas ka jeevan se jaise,
Kaise kate saal solah,
Shyam ki jogan ke jaise.
Jhoot ke parde na dhoondo,
Sach kaho na .
Kuchh kaho na ..
  
          Ek dooje ke liye ham,
Haath main kangan ke jaise,
Pyaas main sawan ke jaise,
Roop ko darpan ke jaise,
Bhakt ko bhag_van ke jaise.
Jheel si simtee na baitho,
Kuchh baho na .
Kuchh kaho na ..
    Jaanata hoon thak gayee ho,
Umr ke lambe safar se,
Saanp se dasate shahar se,
Aas se aur aansuon se,
Bheed ke gahare bhawanar se.
Waqt firata hai suno,
Itna daro na .
Kuchh kaho na ..
          Kis tarah ladatee rahi ho,
Pyaas se parchhaiyon se,
Neend se , angadaiyon se,
Maut se aur zindagi se,
Teej se ,tanahaiyon se.
Sab tapasya tod dalo,
Ab saho na
Kuchh kaho na !!

jo kaha karte the ki kabhi hum beimaan nahi honge,

unhi ke imaan ko dekha aaj humne dagmagate huye,

jin haathon se ummeed thi phul barsaane ki,

unhi haathon ko dekha aaj patthar barsaate huye,

jis waqat par naaz hua karta tha kabhi mujhe,

ussi waqat ko dekha ret sa hathon se nikal jaate huye,

jisne kaha tha ki ye saath nahi chhutega apna kabhi,

ussi ko dekha aaj apna daaman mujhse chhudate huye,

{gareeb} ki inn wafaaon ka kya sila chuka paaogi tum,

jise dekha ek bewafa k pairon ki thokar khate huye

Apne dard ko alfazon  mein dhalne ki ab humari halat na rahi
Unse kya shiqayat karte humari kabhi aisi adapt hi na rahi
Log puchte hain ab lavon pe humari pehle jaise hansi na rahi?
Ye duniya ko hum samjha to sakte hain apni bebaaki se
Par hum apne iss dil ko kaise samhajyein? “aap humari na rahi”

Apni har shayari mein tera naam likhte hai
Apni har saans pe tera naam likhte hai
Agar yaqin na ho toh aazmaa ke dekh lo A
Tere saamne dil kholke tera naam likhte hai

 Kaun hai jo ek saaye ki tarah

Mere dil ko choota hua gujar jata hai

Kabhi pass se , kabhi dur se

Ek aawaaz , ek nagma, ek geet

Banke rag-rag mai utar jata hai

Kabhi pass se , kabhi dur se

Kaun hai jo mujhe apni

Tanhai ka ahsaas dila jata hai

Ek khalipan sunapan chod jata hai

Main use dekhna chahta hoon

Jan na chahta hoon

Ungaliyon se uske chehrey ko choona chahta hoon

Kaun hai

Jo pass rahker bhi mujhse dur hai

Kadmon ki aahat sunta hoon

Palat ta hoon

Use dekhta hoon

Tasveer ban jata hoon

Khud ko bhul jata hoon

Bekhud ho jata hoon !!!

Aap ki vo zaalim adaa
mujh ko bimaar kargayi
ek baar aapne muskuraa kya diya
teer ko dil ke paar kargayi

Jasbaate ishq naakaam naa hone denge,
Dil ki duniya mein kabhi shaam naa hone denge,
Dosti ka har ilzaam apne sar par le lenge,
Par dost hum tumhe badnaam na hone denge !!!!!

Next Page »

Google