October 2007
Monthly Archive
Fri 12 Oct 2007
Is anjnabi duniya mein,Akela ek khawaab hu,
Sawaalo se khafa,Chhota as jawaab hu,
Jo na samjh sake,Unke liye “KOUN”,
Jo samajh chuke,Unke liye kitaab hu ,
Duniya ki nazar mein,Jaane kyu chubha as,
Sabse nashili aur badnaam sharaab hu,
Sar uthakar dekho,Wo dekh raha hai tumko,
Jisko na dekha usne,Wo chamakta aaftab hu,
Aankh se dekhoge,To khush paoge,
Dil se poochoge,To dard ka sailaab hu ………!!! !
Wed 10 Oct 2007
Lo apna jahan A duniya walo,
Hum iss duniya ko shorr chalay,
Jo rishtay natay jorray thay,
Wo rishtay natay torr chalay.
Kuch sukh k sapnay dekh chalay,
Kuch dukh k sapnay jhel chalay,
Taqdeer ki andhee gardish nay,
Jo khel khelay khel chalay.
har cheez tumari lota di,
Hum lekey nahin kuch sath chalay,
phir dosh na dena A logo,
humay dekh lo hum Khali hath chalay.
ye raah akeli katitee he,
yahan sath na koi yaar chalay,
us paar na janay kiya paaen,
iss paar to sub kuch haar chalay….
Tue 9 Oct 2007
Hum agar mil nahi pate,
Aisa nahi ki aap yaad nahi aate.
Mana jahan ke sab rishte nibhaye nahi jate,
Par jo ban gaye hai DOST wo bhulaye nahi jate……..
Tue 9 Oct 2007
Posted by Rahul under
SMS Shayari No Comments
1) Aap ke Jaanisaar…Hum bhi hai.
Aashiq-e-Dil figaar…Hum bhi hai.
Dard kahta hai…Mujhse tanhaiyo me…,
Tum na ghabrao…Yaar saath hum bhi hai..!!
2) Jara toh aankh khule..Hum hosh me toh aaye.
Hum apne aap me toh aaye.
Hazaar sajde kiye raat-raat bhar hum,
Jo dil saaf na ho..
Kya jamee pe noor aaye..!!
3) Judai aapki rulati rahegi, Yaad aapki aati rahegi, Palpal jaan jati rahegi.
Jab tak hai is jism me jaan, Har saans rishte nibhati rahegi…
4) Kbhi sochte h ek GULAB bhej de,
Kbhi chahte h pura BAAG bhej de,
ja Rhe ho agar Aap sone ko to Dil krta h,
Apki PALKO me ek PYARA SA KHWAB bhej de..Gud Nite
5) Wo muskura rahe hai hume tanha chod kar”
Kiye huye saare waado ko tod kar”
Unke siva kahi dil lagta bhi nahi_
Ab kya karenge hum apne toote huye dil ko jod kar”
6) Khud Ko Phone laga ke Kabhi Dekha hai?
Engage Tone ayega..
Niyamo ka Lekha hai.
Duniya Se Milne Me Sab Mast He,
Khud Se Milne Ki Sari line vyast hai. .
7) Kitno ko jigar ka zakhm seete dekha
Dekha jise khoone dil hi peete dekha
Ab tak rote the marnewalo ko aur ab
Hum ro diye jab kisi ko jeete dekha
Teri baaten hi sunane aaye
Dost bhi dil hi dukhane aaye
Phool khilte hai to hum sochte hai
Tere aane ke zamane aaye
Ab to rone se bhi dil dukhta hai
Shayad ab hosh thikane aaye
9) Ikk kahani hai hazaaro’n saal purani.
Husn
or
Mohabat
aapas mein Dost the
1 raat 2no saath the k itney mein chand nikal aaeya.
Mohabat ne chand ki tarif suru kr di,yeh baat husan ko achi nahi lagi, usne Mohabat ki ankhen noch li.Bas,usi din se mohabat andhi ho gai aur husan jalim ban
geya.
10) Chand ko bheja hai pehredaar ,Taron ko saupa hai nigrani ka kaam, Raat ne zari kiya hai farmaan,Sare sweet dreams bas apke naam…
Gud Nite.
Tue 9 Oct 2007
Posted by Rahul under
SMS Shayari No Comments
Apno ne Zehar ka jaam de diya,
Gairon ne Bewafa naam de diya.
Wo jo kehte ki bhul na jana hume,
Aaj unhone hi bhari MEHFIL me ANJAAN keh diya…….
Tue 9 Oct 2007
*** Talash ***
Ab mujh ko bhoolne ke bahane talash kar
Musam naya hai, tazah thakane talash kar
Aankhon ki duobti hoee kafiyatain na dekh
In murdah aansoon main zamane talash kar
Mahloon ke baasiyon ne to thukra diya tujhe
Galiyon main apne dost purane talash kar
Ya roshni ki burf se chehre ko dhaanp le
Ya zulimaton main khawab suhane talash kar
*** Zindagi ***
Ishq fana ka naam hai ishq main zindagii na dekh
Jalva-e-aaftab ban zarre main roshani na dekh
shauq ko rah numa bana jo ho chuka kabhi na dekh
aag dabi hui nikaal aag bujhi hui na dekh
tujh ko Khuda ka vaasta tu merii zindagii na dekh
jis ki sahar bhi shaam ho us ki siyaahi na dekh
Tue 9 Oct 2007
dillagi se dil laga kar dillagi ke ghar gaye, Dillagi na boli hamse dillaga
ke mar gaye.
Isk ki bandook me ada je charre bhar diye ghoda dabaya aankh ka lakh ghayal
kar diye
Tue 9 Oct 2007
Tujhe bhoolne ki koshish mein,
Jab dil ye zid pe aa gaya,
Main aankh moond ke baith gaya,
Tu khayaal pe phir chaa gayi…
Ye dhadkan kahin ruk jaaye naa,
Meri nabz Thehr naa jaaye kahin,
Tune Waqt kiya mera lamha lamha,
Magar maut ko aasaan bana gayi…
Meri har daleel ko kiya ansuni,
Meri fariyaad bhi to suni nahin,
Main Hairaan hu, haa Kuch Pareshaan hu,
Aisa Faislaa tu mujhe suna gayi…
Mujhe chaand ki kabhi talab na thi,
Mujhe suraj ki bhi fikar nahi,
Bas aankh kholna hi chahte the ham,
Magar Tu roshni hi bujha gayi…
Beshak bhoolna tujhe chaha bahut,
Hans kar kabhi, ro kar kabhi,
De kar ye aansuon ki saugaat mujhe,
Tu daaman apna bacha gayi
Sat 6 Oct 2007
Sitam to yai hai …
Sitam to yai hai kai ham tum sai dil laga baithey
Apni khushiyoon ko bhi ham tum pai hi loota baithey
Sitam to yai hai….
Tujh ko chaha tha itna kai ham bata na sakkey
Teri chahat ko bhi dil mai ham chupa na sakkey
Sitam to yai hai….
Tum nai samjha na tha kaabil apney ham ko
Issliye tum mohabbat ko tum mitta baithey
Sitam to yai hai….
Bharrey Bazm mai jo tum nai mujh ko ruswa kiya
Iss ruswayee ko to ham wahi mitta baithey
Sitam to yai hai….
Meri waffa ka badla jo jaffa sai diya tum nai
Teri iss sitam ko bhi ham dil mai bassa baithey
Sitam to yai hai…. !!!!!!!!!!!
Sat 6 Oct 2007
duaeein kisi ke liye, koshishen kisi ke liye karne lagi,
zindagi meri kisi begane par marne lagi,
bikhar gayi yun toh meri mohabbbat uski bewafiyon ke baad,
haan bas khwashion ki hasratein aur jyaada sawarane lagi,
barbaad kar diya meri mohabbbat ke malik ne mujh ko,
shayad isliye chahton ki mari hui duniya aur jyaada nikaharane lagi,
yun toh karta gaya woh sau sitam mere ishq par,
par meri wafon ko dekhkar uski bewafiyaan bikharane lagi,
meri siskiyon ki aawaz goonjati hai is kamare ke andheron mein,
yeh masoom kali raat shayad isliye andheron se darne lagi,
hoslon se apne jo umeedon ki duniya basai thi,
aaj wahi duniya mere dil ke armaano se ujadane lagi,
jaane kis ka naam lekar haath utate hai aur jaane kahan kadam badh jaate hain,
meri bebaas aahein sunkar yeh pathar ki deewarein bhi girane lagi,
mere zakhmo ko yunhi muskurata dekh,
in pahadon ki unchaiyeiyan bhi baraf ki tarah pighalane lagi,
sookh gaye hai saare khet baarish ka intezaar karke,
bas meri aankhon se ek saath kai sawan ki rituein barsane lagi,
muskuradi mein kai janamo ke baad aanshon ko bahate bahate,
na jaane kyun meri khushi dekh kar uske dil pe churiyan chalne lagi.
« Previous Page — Next Page »