January 2008


jo raayon ko hum dekha karte hain sapne;
subah hote hi wo nahin rahte apne.

khiza ke darakhton ke patton ki manind;
juda ho gaye wo sabhi jo they apne.

samandar jinhen log kahte they saare;
suna hai ke wo bhi lage hai tarasne.

“shamim” aaj-kal mere hisse ke baadal;
kisi ki zamin par lage hain barasne.

devendra

Kis tarah ye Gam bhuul jaayein ham,
Voh judaa huaa iss bahaar mein,

Din guzar gayaa aitbaar mein
Raat kat gayi intezaar mein,
Voh mazaa kahaan vasl-e-yaar mein,
Lutf jo milaa intezaar mein,
Un kii ikk nazar kaam kar gayi,
Hosh abb kahaan hoshiyaar mein,
Mere kaase mein kaayenaat hai,
Main huun aap kay iKhtiyaar mein,
Aankh tou uthii phuul kii taraf,
Dil ulajh gayaa husn-e-khaar mein,
Tum say kyaa kahein kitane Gam sahe,
Ham nay be-vafaa tere pyaar mein,
Fikr-e-aashiyaan har Khizaam kii,
Aashiyaan jalaa har bahaar mein,
Kis tarah ye Gam bhuul jaayein ham,
Voh judaa huaa iss bahaar mein,

shayari compiled by,
jass_cancerian

Kisi ko chhodna ho tou mulaakatein badi karna,

Diyon ka kadd ghataane kay liye raatein badi karna,
Badey shehron mein rehna ho tou baatein badi karna,
Mohabbat kay gharon kay kachepan ko yeh kya samjhein,
Inn aankhon ko bass aataa hai barsaatein badi karna,
Mohabbat mein bichhudney ka hunnar sabb ko nhi aataa,
Kisi ko chhodna ho tou mulaakatein badi karna,

mail compiled by,
jass_cancerian

« Previous Page

Google