March 2008


Tumhein Kaisy Batayein Hum
Muhabbat Aur Kahani Mein Koi Rishta Nahi Hota
Kahani Mein
To Hum Wapis b Atay Hain
Muhabbat Mein Palatney Ka Koi Rasta Nahi Hota
Zara Socho!
Kabhi Dil Mein Kharashein Daltii Yaadon Ki Saffakii
Kabhi Daman Se Liptii Hay
Kisi Bhooli Hui Saa’at Ki NumNaaki
Mujhay Dekho…
Mery Chehrey Par Kitnay Mausamon Ki Gard Hay
Aur Iss Gard Ki Teh Mein
Samay Ki Dhoop Mein Rakha Hua Ek Aayina
Aur Aayiney Mein Taa Hadd-e-Nazar Tak Phaily
Muhabbat k Sitarey Aks Ban Kar Jhilmilatey Hain
Nayii Duniyaoon Ka Rasta Batatey Hain
Lakeeron Mein Kahani Hay
Kahani Aur Muhabbat Mein Azal Se Jung Jari Hay
Muhabbat Mein Ek Aisa Morr Ata Hay
Jahan Aa Kar Kahani Haar Jati Hay
Kahani Mein To Kuch Kirdaar Hum Khud Farz Kartay Hain
Muhabbat Mein Koi Kirdaar b Farzii Nahi Hota
Kahani Ko Kayii Kirdaar
Mil Jul Kar Kahin Aagay Chalatey Hain
Muhabbat Apney Kirdaron Ko Khud Aagay Barhatii Hay
Kahani Mein Kayii Kirdaar Zinda Hi Nahi Rehtay
Muhabbat Apney Kirdaron Ko Marney Hi Nahi Deti
Kahani k Safar Mein
Manzaron Ki Dhool Urrti Hay
Muhabbat Ki Musafat RaahGeeron Ko Bikharney Hi Nahi Deti
Muhabbat Ik Shajar Hay
Aur Shajar Ko Iss Se Kya Matlub
k Iss k Saye Mein Jo b Thaka Haara Musafir Aa k Baitha Hay
Ab Iss Ki Nasl Kya Hay, Rung Kaisa Hay
Kahan Se Aaya Hay Kis Simt Jana Hay
Shajar Ka Kaam To Bas Chhaon Dena
Dhoop Sehna Hay
Isay Iss Se Garaz Kya Hay
Parrao Dalney Walon Mein Kis Ne
Chhaon Ki Taqseem Ka Jhagrra Uthaya Hay
Kahan Kis Ehad Ko Torra, Kahan Waada Nibhaya Hay
Magar Hum Jantey Hain
Chhaon Jab Taqseem Ho Jaye
To Aksar Dhoop k Naizey
Rag-o-Pay Mein Utartey Hain
Aur Iss k Zakhm Khurda Log
Jeetay Hain Na Martay Hain…!!!

Fahim Memon fahim_genius@hotmail.com, 0300-2005752, 0322-2005752

Hi Frndz

Kisi khushnasib ki takdir hain aap,
khwabo ki sachi tasvir hai aap.
aur kya kahe aap ki shan me,
mere hathon me DOSTI ki lakeer hain aap.

her shab mairi taza azaab main guzri.
tumharey bad tumharey hi khuwab main guzri.
main phool hoon wo mujey rakh k bhool gya,
tamam umer us ki kataab main guzri.

Iss tarah pheroon tumhe,
sochta rehta hoon,
Meri harr saans tumhare naam likhi ho jaise..

Tu jidhar jaae, bikhre khusboo,
Ho jaae diwani har nazar,
Tere aane se kya sakoon mile,
Kya shae hai tu, Kya tera asar..

durr rehkar bhi pyar ka rishta nibhate hain aap,
naajane kyun dil ko lubhate ho aap,
yeh kaisa karishma hai aapka,
jo humko itna yaad aate hain aap..

Yeh raat itni tanha kyun hoti hai,
qismat se apni sabko shikayat kion hoti hai,
ajeeb khel khelti hai qismat,
jise hum paa nahin sakte usee se mohabat kyun hoti hai…

Jab kabhi mausam mein khusboo bhikhar jaae,
Jab kabhi chandni mein raat nikhar jae,
Jab bewajah hi dharkanein machal jaaen,
to samajh lena ki humne aapko yaad kiya….

Kabhi to nazar milaaon, kabhi to kareeb aaon…..
Hum bhi to hai tumhare, deewane ho deewane….. ……… …

Kabhi to nazar milaaon, Kabhi to kareeb aaon,
Kabhi to nazar milaaon, Kabhi to kareeb aaon,
Jo nahi nahi kaha hai, kabhi to samajh bhi jaaon,
Hum bhi to hai tumhare, deewane ho, deewane,
Hum bhi to hai tumhare, deewane ho, deewane.

Kabhi to nazar milaaon, Kabhi to kareeb aaon,
Kabhi to nazar milaaon, Kabhi to kareeb aaon,
Jo nahi nahi kaha hai, kabhi to samajh bhi jaaon,
Hum bhi to hai tumhare, deewane ho, deewane,
Hum bhi to hai tumhare, deewane ho, deewane.

Humne tumko dekhte hi dil diya,
Tum hi socho tumne humse kya kiya??
Humne tumko dekhte hi dil diya,
Tum hi socho tumne humse kya kiya??
Tumne kya kiya? Kya kiya?
Mera di naa todo, kabhi dil se dil milaaon.
Hum bhi to hai tumhare, deewane ho, deewane.
Hum bhi to hai tumhare, deewane ho, deewane.

Dil ye chahe teri julfe choom loon,
Sochta hoon, aur tumse kya kahoon?
Dil ye chahe teri julfe choom loon,
Sochta hoon, aur tumse kya kahoon?
Tumse kya kahoon? Kya kahoon?
Koi faisala do, kabhi to gale lagaaon.
Hum bhi to hai tumhare, deewane ho, deewane
Hum bhi to hai tumhare, deewane ho, deewane.

Kabhi to nazar milaaon, Kabhi to kareeb aaon,
Kabhi to nazar milaaon, Kabhi to kareeb aaon,
Jo nahi nahi kaha hai, kabhi to samajh bhi jaaon,
Hum bhi to hai tumhare, deewane ho, deewane,
Hum bhi to hai tumhare, deewane ho, deewane.

Raj.

Some times Some thing we have leave it to GOD

Yuun kisi kee aankh mein sub-haa takk abhi

thay hum,

Sau khaluus baton mein,sab karam khayaalon mein,
Bass zra wafaa kamm hai terey shehar vaalon mein,

Pehli baar nazron nay chaand boltay dekha,
Hum javaab kya detey kho gaye sawaalon mein,

Yuun kisi kee aankh mein sub-haa takk abhi thay hum,
Jiss taran rahey shabnam phool kay pyaalon mein,

Raat teri yaad nay dil ko iss taran chhedaa,
Jaisay koi chuti ley naram naram gaalon mein,

Meri aankh kay taarey abb na dekh paaoogay,
Raat kay musaafir thay kho gaye ujaalon mein,

Jaisay aadhi shabb kay baad chaand neend mein chaunkay,
Voh gulaab kee zumbish unn siyaah baalon mein,

khaluus….. ….love/ true friendship

zumbish……movement

Shayari compiled by,
jass_cancerian

Chaah dil kee qareeb lei aati hai,
Kaun varna qareeb hota hai,

Kaun kis kaa habeeb hota hai,
Yeh tou apnaa naseeb hota hai,
Jis ko mil jaaye pyaar kee duniya,
Aadmi khushnaseeb hota hai,
Dil jab bhi kisi pay aataa hai,
Waqt woh bhi ajeeb hota hai,
Be-wajah agar qraar aa jaaye,
Koi pyaaraa qareeb hota hai,
Haal dil ka kahuun kaisay aapna,
Saath uss kay raqeeb hota hai,
Rooh kee udaan ko jo samjhay,
Dar-asal voh adeeb hota hai,
Chaah dil kee qareeb lei aati hai,
Kaun varna qareeb hota hai,
Jo kisi say na ho aur kar lei,
Shaks vohi naqeeb hota hai,

Shayari compiled by,
jass_cancerian

Kya kahen ki kuch kaha nahi jaata,
Dard meetha hai par saha nahi jaata,
Dosti hogayi hai iss kadar aapse ki,
Bina msg kiye aapko raha nahin jaata…

Hamari dosti ke saare ehsaas le lo,
Dil se pyar ke saare jazbaat le lo,
Nahi chodenge toofan mein bhi saath tumhara,
Iss dosti ke hazaaro imtihaan le lo…

Intezaar rehta hai har shaam tera,
Raatein kat ti hain le le ke naam tera,
Muddat se baitha hun ye aas paale,
Ab aata hoga koi paigaam tera.

« Previous PageNext Page »

Google