April 2008


Aao yaadon ke phool saja len hum,
Kabhi aap yaad aao humein,
Kabhi yaad aapko hum aaen,
Yun na milna humse jaise,
Milte ho kisi ajnabi se,
kabhi lagana gale humko waise
ki pehna ho haar baahon ka
aisa mehsoon karen hum,
aye sanam na kate ab,
intezar ki yeh ghadian
yaadon ke phoolon se
kaise zindagi guzarein hum.

Hamari dosti ke saare ehsaas le lo,
Dil se pyar ke saare jazbaat le lo,
Nahi chodenge toofan mein bhi saath tumhara,
Iss dosti ke hazaaro imtihaan le lo…

solanki from kutch
9924174590

1) Milne ki khushi hain ya bichadne ka gam,
Ankho mein aansu hain ya udaas hai hum,
Kaise kahe ki kaise hai hum,
Bas itna samaj lo ki tum bin bahut akele hai hum..!

2) Ab is Dil se ye gawara nahi hota,
INBOX mein koi SmS tumhara nahi hota,
Bhool kar hi sMs kar diya karo,
Sirf Yaad karne se guzara nahi hota.. !

3) Jeene ki nayi adaa di hai, Khush rehne ki usne dua di hai,
Ae Khuda use sara jahan dena,
Jis-Jis ne aapni zindagi mei humein jagah di hai..

1.Jism bhi her kism ki, adayein karta hai
Dil use dekh milne ki, duwayein karta hai;
Bade mushkil se, mil pati hai mohabbat
Jism mein ulaghnewala, ganwaya karta hai.

2. Jism Doli hai, mohabbat dulhan si sahmi
Nigahon se utar, Dulhan ko pana mumkin;
Bahut gahrayi mein utrane ka, jisme ho hausla
Jism ki dhadkan lage uase, tak-dinadhin-tak dhinadhin.

Dhirendra Singh.

Kasam tumhari tumhe itna pyar karte hain

Badalna aata nahi humko mousmo ki tarah
Har ek roop main tera intezaar karte hain
Na tum samet sakogi jise qayamat tak
Kasam tumhari tumhe itna pyar karte hain.

Kabhi kisi se pyaar mat karna,
ho jaaye to inkaar mat karna!
Nibha sako to chalna uski raah par,
varna kisi ki zindagi barbaad mat karna

“Chaha Tha Unhein Hale Dil Sunana,
Chaha Tha Unhein Junone Mohabat Dikhana,
Nazmein Laaye The Hum Dil Kured Kured Kar,
Par Alfaaz Bhi Chale Gaye Unhein Dekh Kar”

Buhat tamana thi, pyaar mein Aashiyan banane ki,
Bana chuke to lag gayi Nazar zamane ki.
Usi ka karz hai jo aaj hain Aankhon mein Aanso,
Saza mili hai hume muskurane ki !

Khasmosh say lab ankhoon main nami hoti hai
Tari yaad jo ati hai to kuch asi aada hoti hai

Ankhoon ko band kar k us ko main sochoon to
Khamosh andharay main bas uski nigaah hoti hai

Ab ya duniya mari muha veeran si lagti hai
Khushboo tari na hoti hai na tari sada hoti hai

Jis des bhi jao tum who des tumhara ho
Ab haath jo uthta hain to yahi dua hoti hai…!!

« Previous Page

Google