Dil Lagaanaa Dil Jalaanaa-Zindegi
Hain Yehee Aapna Fasaana-Zindegi

Dariya Dariya Pee Ke Duniyaa Ke Sitam
Aansoun Aansoun Muskourana-Zindegi

Aaj Mujhko Mujhse Milne De Zaraa
Tuu Kabhi Foursat Se Aana-Zindegi

Maine Bhi Haari Hai Baazi Pyaar Ki
Tuu Mujhe Bhee Azmaana-Zindegi

Wo Jo Dil Kaa Saaf Ho UssKo Sabhi
Log Kahte Hain Deewaana-Zindegi

Main To Houn Raahi Safar Hi Kaam Hain
Kyaa Meraa Pouchhe Thikaana-Zindegi