Gandhi nahi Vey aandhi the
Jise rok saki na angreji sarkaar
Vishva-shakti ko bikher diya taar-taar
Na teer na talwar
Ahinsa ekmatra hathiyaar
Yah kaisa chamatkaar!

Krushpraay tan par eklauti dhoti
Fir bhi aatm-bal ki dekho jyoti
Kai kai dino tak kiya anashan
Hila diya jisne samrat ka sinhaasan

Deen-heen jan ke liye pala tha ek sapna
Ram-rajya ka
Lekin afsos ki sapna saakar na kar paaye
Jis karya hetu janm liya
Use poora karke chale gaye
Ek avataar ki tarah.