SMS in Hindi


Koi dikha ke roe,koi chupake roe,
hame rulane wale hame rulake roe,
marane ka maja to tab hai yaro jab,
kaatil bhi janaaje pe aake roe.
`
Tej dhadakan ko sun ke bhi
tumhe pyaar ki khabar nahi hoti,
kya mehasus karogi tum dil ka dard,
dil ke tutane ki to aawaaj bhi nahi hoti.
`
Khud kee mahobbat fanah kaun karega,
sabhi nek ban gaye to gunah kaun karega,
e khuda sanam bevafa ko bachaye rakhana,
varana hamaari maut ki duwa kaun kareg?
`
Shama jalati hai parawane chale aate hai,
Sar ke bal ishq ke diwane chale aate hai,
ab to aa jao meri jaan,ke janaja uthane ko hai,
log to gairo ko bhi dafanane chale aate hai.
`
Koi achchi si saja do mujako,
Chalo aisaa karo bhula do mujako,
tumase beechadu to maut aa jaae,
dil ki geharaiyo se duwa do mujako.

Mana ke bhool jana aapki fitrat sahi,
Magar hamain bhol jana aapki kismat mein nahi,
Agar yaqeen na ho to aazma ke dekh lena,
Khudhi ko bhool jaoge hume nahi..
`
Woh kaunsa lamha tha jo gujar gaya
Ek lamha kya gujra, ek zamana gujar gaya
Zindagi toh khatm ho gayi, lekin maut na aayi
Ek pal mein hi mera fasana gujar gaya
`
Mere angan mein lagay phool gawahi dein
Maine arsay sey kisi phool ko dekha bhi nahin
Tujh ko socha hai to phir tujh ko hi socha hai
Terey siwa ……..kisi aur ko socha bhi nahin
`
Karoge yaad ek din ..iss pyaar ke zamane ko..
Chale jayenge jab hum kabhi naa wapas aane ko ..
hoga mehfil mein jab koi zikr hamara..
toh aap bhi dhondoge tanhai aansu bahane ko !!
`
Kisi ke waado par zindagi tabah kar baithe
Diwangi mein yeh kaisa gunah kar baithe..
Ek chand ki aarzu k liye hum,
apni haseen raato ko Fanah kar baithe !!
`
Mohabbaton ki saza bemisal di usney,
Udas rehne ki aadat daal di usney…..
Mere wajood pe jab itne Zakham dekh chuka woh…..
phir jaan boojh ke kaanton ki shaal dal di usney !!!

Jindagee wafa se nibhaani chaahiye,
Ki jo dosti to dil se nibhaani chaahiye,
Waqt aane pe dosti ke liye,
Jaan bhi gawaani pade to gawa deni chaahiye.
****************************
Jindagi me ek pal sukoon na paya,
Duniya ki is bheed me khud ko tanha paya,
Tere diye jakhmo ko pyaar samajhate rahe
Tere isi bhoolawe ke piche aur kisi se dil na lagaya.
*****************************
Jindagee jakhmo se bhari hai,
Waqt ko malham banana sikho,
Haarna to hai maut ke saamne,
Filhaal jindagee se jitna sikhlo.
*****************************
Jindagee me kuch na mila hamko,
To kya gam hai aapka SMS mila ye kya kam hai?
Aapke mobile me ek choti si jagah jo
Paalu to wo jagah TajMahal se kya kam hai?
*****************************
Na mandir, na bhagawaan, na puja na snaan,
Har roj subah hota hai hamara sabse pehale kaam…
Ek pyara sa SMS hamaare pyaare se dost ke naam.
*****************************
Har din dua karte hai,
Mere dost ki subah din khushabu se mehak jaaye,
Aur us mehak ke ehasaas se hamara
Din bhi gujar jaaye :)
*****************************
Chandni raat hai, taaro ki baaraat hai,
Kitne khushnaseeb hai wo
Jo is haseen pal me
Aapke saath hai.
*****************************
Jab tum haste ho to lagta hai ki
Insaan pehle bandar tha, dekho gussa mat hona kyonki,
Jab tum gussa hote ho to lagta hai,
Ki insaan aaj bhi bandar hai.
*****************************
Ye dil pyaar ke kaabil na raha,
Koi bhi intajaar ke kaabil na raha,
Is dilme bas gayi dosti aapki
Ab to chaand bhi deedaar ke kaabil na raha.
*****************************
Yaado se dil bharta nahi,
Dil se yaade nikalti nahi,
Ye kaisi majboori hai ki aapko
Yaad kare bina chain padta nahi.
*****************************
Ye meri mohabbat ka kusoor hai,
Ki aaj wo mujhase door hai,
Had se jyada chaahta hu usako,
Ye hi meri sabse badi bhool hai.
*****************************
Yu to har phool me madhuras nahi hota,
Chand bhi kabhi chandni ke paas nahi hota,
Jee chaahta hai tum se dosti kar lu,
Magar har shakhs par aitbaar nahi hota.
*****************************
Yaaro ye duniyaa hai bedardo ki,
Yaha har raaz chupana padta hai,
Dil me hai laakho jakham,
Phir bhi mehafil me to muskurana padta hai.
*****************************
Phoolo ne amrit ka jaam bheja hai,
Taaro ne gagan se salaam bheja hai,
Har khushi mubarak ho aapko,
Hamne sachche dil se ye paigaam bheja hai.
*****************************
Sunhari dhoop barsaat ke baad,
Thodi hasi harbaat ke baad,
Usi tarah ho aapko mubaarak nayi
Subah kal raat ke baad.
*****************************
Har subah naye dhoond laati hai,
Har phool se khushabu aati hai,
Jitna na chaahe na jaane kyon har subah
Aankhen khulte hi aapki yaad aa hi jaati hai.
*****************************
Jindagee ek sadak hai,
Masti se chalte raho,
Aate hai utaar-chadaav,
Bas gear badalate raho.
*****************************
Raah pe chalte chalte,
Poocha paao ke chhalo ne
Basti kitni door banaai hai
Dil me basne waalo ne…
*****************************
Poocho na us kaagaj se,
Jis pe ham dil me beeti likhate hai,
Tanhaaiyo me beeti baate tamaam likhate hai,
Wo kalam bhi deewaani ho gayi,
jisse ham aapka naam likhte hai.
*****************************
Jamaane ki har jannat aapke liye hogi,
Ye aasmaan ye jameen aapke liye hogi,
Mujhse kah bhi na paaoge uske pahle,
Mere hisse ki har khushi aapki hogi.
*****************************
Kyon mujhe tu baar-baar yaad aata hai,
Kyon pal do pal ko mujhe mahka jata hai,
Naraajgi tumhaari baar-baar aane se nahi,
Balki tumhaare baar-baar jaane se hai…
*****************************
Parwaah karo uski jo aapki parwaah kare,
Jindagi me jo kabhi rooswa na kare,
Jaan bankar utar jaaye uski jaan me,
Jaan aap par jo apni jaan kurbaan kar de…
*****************************
Maine usase mohabbat ki,
Jindagi bhar saath nibhaane ke liye,
Usne mujhase mohabbat ki,
Ek din saath chod jaane ke liye…
*****************************
Gila hame unse nahi gila un dooriyo se karte hai,
Ham unse door hi sahi,
Par pyaar to ham unki,
Dooriyo se bhi karte hai.
*****************************
Kaash banaane waale ne
Dil sheeshe ka banaya hota,
Kam se kam todne waale ke haatho me
Jakhm to aaya hota…
*****************************
Jaan se jyada jaan tumhe chaahte hai,
Aawaaj dekar dekho jara ham tumhe paas hi milege,
Hamaari yaad me aansu na bahana,
Nahi to ham un aansu ke sang bah jaayenge…
*****************************
Tumhe har safar ka kinara milega,
Chamakta hua har sitara milega,
Aayegi chehre pe pyaari si muskaan,
Message tumhe jab hamara milega.
*****************************
Dooriyo ki na aap parwaah kiya keejiye,
Dil jab bhi pukaare bula leejiye,
Ham door jyada nahi aapse,
Bas apni palko se palko ko mila liya keejiye.
*****************************
Dil doob raha hai ek kinara chaahiye,
Girte huye is pyaar ko ek sahara chaahiye.
*****************************
Is shaam ki tanhaai se, is dard ki gahraai se,
Ye dil kuch baat kar raha hai,
Jara samjho in fijaao ki chubhan ko,
Aaj phir tumhe koi yaad kar raha hai…
*****************************
Andhera hi andhera hai kuch kaise dikhe,
Ab in aankhon ko teri soorat ka najara chaahiye…
*****************************
Har waqt hotho par aapki hasi ho,
Har pal dil me aapke khushi ho,
Sitaare bhi jameen par aa kar aapko gher le,
Aisi chaand ki tarah chamakti aapki jindagee ho.
*****************************
Tohafa kya aaj tumhe main yaar du,
Bachi chand khushiya bhi tumpe apni waar du,
Maangi thi jo us khuda se tumhaare liye,
Un sabhi duaao ka tujhe main upahaar du…
*****************************
Jameen ki mitti bhi dekh na paau,
Mujhe aasmaan me itane sitaare na do,
Jameen par pair rakhkar akele chal na paau,
Mujhe kadam-kadam par itna sahara na do…
*****************************
Hamari mahafil ko fasana mil gaya,
Hamari gajlo ko afsana mil gaya,
Aapka pyaar aisa mila jaise,
Khuda ki taraf se koi najrana mil gaya.
*****************************
Dil ke rishte ka koi naam nahi hota,
Mana ki iska kuch anjaam nahi hota,
Agar nibhaane ki chaahat ho dono taraf to,
Tamaam umra koi rishta nakaam nahi hota.
*****************************
Mana ye waqt hame yaad karne wala nahi,
Par bewaqt hame yaad kar liya karo,
Mana aapke aas-paas saari duniyaa hai,
Magar kabhi hamaari kami ka bhi ehsaas kar liya karo.
*****************************
Khuda se jab bhi milate hai,
Yahi fariyaad karte hai,
Khuda unhe khush rakhna,
Jo hame yaad karte hai.
*****************************
Jindagi kisi ki amaanat nahi hoti,
Amaanat me kabhi kayaamat nahi hoti,
Dil ko sambhaal kar rakhna mere dost,
Ishq ki kaid me kabhi jamaanat nahi hoti.
*****************************
Har subah ki dhoondh kuch yaad dilaati hai,
Har phoolo ki khushabu ek jaadu sa jagaati hai,
Chaaho ya na chaaho, par kitna bhi,
Aap ki yaad aa hi jaati hai.
*****************************
Chaand taaro ki kasam khata hu,
Main bahaaro ki kasam khata hu,
Koi aap jaisa najar nahi aaya,
Main najaro ki kasam khata hu.
*****************************
Bhoolana aapko na aasaan hoga,
Jo bhoole aapko wo nadaan hoga,
Aap to baste ho dil me hamaare,
Aap hame na bhoole ye aapka ehsaas hoga.
*****************************
Chaman ko chaman ki bahaaro ne luta,
Saahil ko kashti ke kinaaro ne luta,
Aap to ek hi kasam se dar gaye,
Hame to aapki kasam dekar hajaaro ne luta.
*****************************
Ikaraar me shabdo ki ehamiyat nahi hoti,
Dil ke jajbaat ki aawaaj nahi hoti,
Aankhen bayaan kar deti hai dil ki daastaan,
Mohabbat lafjo ki mohataaj nahi hoti.
*****************************
Bahut door hai hamaare ghar se tumhaare ghar ka kinara,
Par ham hawa ke har jhonke se pooch lete hai,
Ki kya haak hai tumhara?…
*****************************
Chehre ki har muskaan ban jata hai koi,
Dil ki har dhadkan ban jata hai koi,
Phir kaise jiye jindagee uske bin,
Jab jindagee jeene ki wajah ban jata hai koi…
****************************
Takdeer ne chaha, takdeer ne bataya,
Takdeer ne tumko aur hamko milaya,
Khushnaseeb the ham ya wo pal,
Jab tum sa anmol saathi is jindagee me aaya.
*****************************
Lamhe ye suhaane ho na ho,
Kal me aaj jaisi koi baat ho na ho,
Aapka pyaar hamesha is dil me rahega,
Chaahe poori umra mulakaat ho na ho…
*****************************
Tamanna kare aap jin bahaaro ki,
Wo bahaar aapke kadmo me ho,
Khuda aapko wo hakeekat me de,
Jo socha aapne kabhi sapno me ho…
*****************************
Kisi ke dil basna bura nahi,
Kisi ko dil me basana khata to nahi,
Gunaah ho ye jamaane ki najar me to kya hua,
Jamaane waale khuda to nahi.

Neha Shah

Lamhe judai ke bekarar karte hain
haalat mere mujhe laachar karte hain
aankhe meri pad lo kabhi
ham khud kaise kahe ki aapse pyar karte hain…

Dil ki tadap ko kaise lafjo mein bayan karoon,
Teri yaad ko kaise apne dil se juda karoon,
Dil hi dil mein tujhko apna bana liya maine,
Tujh bin guzara kaise main mere meherba karoon…

Haal dekh kar mera khuda bhi tadap jayega,
Jab bhi hogi bewaffai ki baat nujhe bhi koi bhoola yaad aayega,
Are apno ne kya kami rakhi jo ab koi anjan sitam dhayega,
Mat chu palkon ko Hai itna dard isme ke tera daaman bheeg jayega.

Kabhi kabhi in ankhon me nami si hoti hai.
Kabhi kabhi in hoton pe hasi si hoti hai.
E dost wo tum hi ho, jis se meri jindagi zinda dil hoti hai.

Kitna bhi chaho na bhol paoge,
Kitna bhi chaho na bhol paoge,
Hum se jitna dur jao nazdik pao ge,
Humein mita sakte ho to mita do,
Yaadein meri, magar…
Kya sapno se juda kar pao ge humein.

Honth keh nahi sakte jo fasana dil ka,
Shayad nazar se woh baat ho jaye.
Is umeed mein karte hain intezaar raat ka,
ke shayad sapne mein mulaqat ho jaye.

Humse door jayoge kaise,
Dil se hume bhulayoge kaise,
Hum to vo khusboo hain jo aapki
Saanso mein baste hain,
Khud ki saanso ko rok payoge kaise

Har pal ne kaha ek pal se,
Pal bhar ke liye aap mere samne aa jao,
Pal bhar ka saath kuch aisa ho,
Ki har pal tum hi yaad aao…

Pyar karoge to dil tootega,
na karo to daman chootega.
Apan banawoge to rona parega,
paas awoge to khona parega.

Wife ko Begum kyon kehte hain?
Kyonki shaadi ke baad saare gum to husband ke hisse mein aate hain or wife Be-Gum ho jaat hai.

Sadham meets kajol n asks her ” how is ur life ?” kajol says ” Kabie khushi kabie gham!” n kajol asks Sadham ” how about u? ” n he says ” kabie BUSH kabie BOMB”!!!!!!!

Khush to bahut honge ki hamara sms aa gya ,par hum bhi bahut chalaak hain humne likha kuch bhi nahin hai…….

Neha Ke Nyare Nyare Hindi SMS

Aapki dosti ko ehsaan maangte hai,
Nibhana apna imaan maangte hai,
Lekin ham wo nahi jo dosti me apni jaan de denge,
Kyonki dosto ko to ham apni jaan maante hai.
~`~
Chaand adhoora hai sitaaro ke bina,
Gulshan adhooraa hai bahaaro ke bina,
Samundar adhoora hai kinaaro ke bina,
Jeenaa adhoora hai tum jaise yaaro ke bina.
~`~
Chaahta hu tujhe pyaar du,
Dost pe apni jindagee waar du,
Jab tera message nahi milata to,
Man karta hai teri jaan nikaal du.
~`~
Phool nahi ham kaanto me baste hai,
Khushi nahi ham gam me haste hai,
Shaayri karna aasaan nahi dard dil me hota hai
Tab shaayar bante hai.
~`~
Chaand ko akele me sharm aati hogi,
Baat kuch tumhaare bhi samajh me aati hogi,
Jab bhi jikra hota hai smart dosto ka,
Tumhe meri yaad bahut aati hogi.
~`~
Jaate jaate wo koi achi nishaani de gaye,
Umar bhar dohra saku aisi kahaani de gaye,
Ham to reh gaye pyaase,
Paye hamaari palko ko wo paani de gaye..
~`~
Chune se koi cheez apni nahi hoti,
Har muskuraahat khushi nahi hoti,
Kehna to chaahte hai bahut kuch magar,
Kabhi alfaaz to kabhi jubaan saath nahi hoti.
~`~
Kaun kehata hai mohabbat ki jubaan hoti hai,
Labo ke bina khule hi hakeekat bayaan hoti hai,
Ishq wo khudaai hai dost jo lafjo se nahi
Aankho se bayaan hoti hai.
~`~
Har khafa har berookhi ko tumhaari mohabbat samajhate hai,
Har naarajgi har doori ko tumhaari chaahat samajhate hai,
O sanam ham to sirf tum se hi pyaar karate hai.
~`~
Karte hai tujhe pyaar karte hi rehenge,
Bewafa duniya se ham ladate hi rahenge,
Ae bhool jaao tujhko ye mere bas me nahi,
Chaha hai tujhe ham chaahte hi rahenge…
~`~
Chehre par banaawat ka gussa,
Aankho se chalakta pyaar bhi hai…
Is ishq-e-ada ko kya kahiye inkaar bhi hai…
ikaraar bhi hai.
~`~
Aankho ki saja tab tak jab tak deedaar na ho,
Dil ki saja tab tak jab tak pyaar na ho,
Ye jindagi bhi ek saja hai,
Jab tak aap jaisa yaar na ho.
~`~
Apna khushi se nahi gam se bhi rishta hai mera,
Ye to aapki jindagee he wo ek hissa hai mera,
Ae dost aapse lafjo ka nahi rooh ka rishta he mera.
~`~
Kisi ne hame aashiq kaha,
Kisi ne hame deewaana kaha,
In aankho me aansu tab aaye,
Jab unhone hame begana kaha.
~`~
Aap jaise dost kuch khaas lagate hai,
Man main har waqt ek aas rakhte hai,
Jaane kab aa jaaye SMS aapka,
Isaliye cell ko dil ke paas rakhte hai.
~`~
Mohabbat me marna kaam na aaya,
Dil or jaan bhi di phir bhi aaraam na aaya,
Har shakhs tha mere saath par
Ek uska hi paigaam na aaya.
~`~
Yaado ke haseen pal mitaaye nahi jaate,
Gujare huye lamhe bhoolaye nahi jaate,
Tum laakh karo mohabbat ki naseehat,
Jo jaan se pyaare ho bhoolaye nahi jaate.
~`~
Apni bebasi par aaj rona aaya,
Doosro ko kya maine apno ko aajmaya,
Har dost ki tanhaai door ki,
Lekin khud ko har mod par akela paya.
~`~
Toone mujhse kyon daga ki,
Mere pyaar ki tune mujhe ye kaisi saja di ki
Har din gujarta hai mera tanahaaiyo me,
Maine to chaaha tha tujhako dil ki gehraaiyo se.
~`~
Unko pyaar karne ka hisaab na aaya,
Meri kisi bhi baat ka jawaab na aaya,
Ham to jaagte rahe unke hi khyaalo me,
Aur unko so kar bhi hamara khwaab na aaya.
~`~
Wo aate to hai par samay se nahi,
Wo chalte to hai par man se nahi,
Kaun kehta hai ki wo pyaar nahi karte,
Karte to hai par ham se nahi.
~`~
Aasmaan se utaari hai, taaro se sajaai hai,
Chaand ki chaandni se nahaai hai,
Mere dost! sambhaal ke rakhna ye dost
Ye meri jindagee bhar ki kamaai hai.
~`~
Ae mere SMS mere dost ke paas jana,
Agar wo so raha ho to shor mat machana,
Jab wo jaage to dheere se muskurana,
Phir dil ka haal batana- miss you.
~`~
Aaj phir dil hai kuch udaas udaas,
Jaane kyon ek maayusi si chaayi hai,
Aaj phir palko pe paani hai,
Bheed me hu phir kyon ye tanhaai hai.
~`~
Mehafil main jab dekha achanak unko,
Unse gujar kar aati hawa sharaab hone lagi,
Unhone aake haal pooch liya mera,
Jaane kyon meri haalat kharaab hone lagi.
~`~
Intajaar uska jiske aane ki koi aas ho,
Khooshbu bhi us phool ki jo mere paas ho…
Manjil na mil saki hame to koi gam nahi…
Gam bhi usi shakhs ka hota jise pyaar ka ehasaas ho.
~`~
Tujhe dekhna chaahti hu har pal
Shaayad tujhse bahut pyaar karti hu
Kal tak to tujhe jaanti bhi na thi
Aaj tera intajaar karti hu…
~`~
Pyaar ke ujaale me gam ka andhera aata kyon hai,
Jisko ham chaahe wahi roolata kyon hai,
Agar wo mera naseeb nahi,
To khuda aise logo se milata kyon hai?
~`~
Sehmi-sehmi nigaaho me khwaab ham jaga denge,
Sooni-sooni raaho pe phool ham khila denge,
Aap hamaare sang muskurakar to dekho,
Aapka har gam ham bhoola denge.
~`~
Tanhaai hai pyaar me, barbadi hai pyaar me,
Aansu hai pyaar me, bebasi hai pyaar me,
Hame sab pata hai lekin kya kare,
Ham bhi hai pyaar me.
~`~
Teri yaad me bahut paigaam likhate hai,
Teri yaad me gujaari wo shaam likhate hai,
Wo kalam bhi teri deewaani ho jaati hai,
Jis se tera naam likhate hai.
~`~
Is “dil” me dekho tasweer tumhaari hai,
In “aankho” me dekho tasweer tumhaari hai,
Jee rahe hai ab tak apni marjee se,
Lekin ye maut “amaanat” tumhaari hai.
~`~
Man me sabka aramaan nahi hota,
Har koi dil ka mehmaan nahi hota,
Par jo ek baar dil me sama jaaye
Use bhoolana aasaan nahi hota.
~`~
Jindagee tere bagair adhoori si lagti hai…
jindagee jeene ke liye teri jaroorat si lagti hai,
Aa jaa phir se laut kar meri jindagee me tu,
Meri aankhen aaj bhi pyaar ko wo din dhoonda karti hai.
~`~
Jaati nahi hai aankhon se soorat teri,
Jaati nahi hai dil se mohabaat teri,
Mehasoos ye hota hai jeene ke liye,
Pehale se jyada hai ab jaroorat teri.
~`~
Kitna haasil hai sanam tera ye muskura dena,
Najare milakar phir najare jhuka dena,
Kaise kahu ki kitana aasaan hai tere liye,
Qayamat ki bijaliya gira dena.
~`~
Koi itna chaahe tumhe to batana,
Koi itana palko pe bithaaye to batana,
Pyaar kar to lega har koi,
Par koi meri tarah nibhaaye to batana.
~`~
Kaash banaane waale ne hame aansu banaya hota,
Aur “usaki” aankh me basaya hota,
Jab girate unaki aankh se unki god me,
To hame marne ka maza aaya hota…
~`~
Kabhi jindagee ke pano ko ulta kar dekhiyega,
Aapko ek shakhs se, na dil se hota hai,
Ye pyaar to ittefaak se hota hai,
Or kya kahe pyaar karke bhi pyaar na mile,
Ye ittefaak sirf hamaare hi saath hota hai…?
~`~
Toofaan me logo ko kinaare bhi milate hai,
Jahaan me logo ko sahaare bhi milate hai,
Duniya me sabse pyaari hai jindagee
Kuch log jindagee se pyaare bhi milate hai.
~`~
Dekh meri aankho me khwaab kiske hai,
Dil me mere sulakhate toofan kiske hai,
Nahi gujra koi aaj tak is raaste se
Ho kar phir ye kadmo ke nishaan kiske hai.
~`~
Jab ho aapka pyara sa saath aur
Ho haatho me haath, tanhaai ho…rangeen,
Ho sama jaha koi aur nahi sirf aap aur ham ho waha,
Tab hogi barsaat pyaar ki, mere aur sirf mere pyaar ki.
~`~
Shaam utari jindagee gaane lagi,
Maut ko phir neend aane lagi,
Phir kisi ki yaad ka deepak jala aur
Andheri raat muskuraane lagi.
~`~
Dost jindagee ke kisi mod par mulaakaat hui,
To najar na chura lena,
Aapko kahi dekha hai bas
Ye keh kar bhoola lena.
~`~
Jis duniya me baste ho tum,
Usi duniya me baste hai ham,
Magar khuda ki kudrat dekho,
Tumhi se milane ko taraste hai ham.
~`~
Agar talaash karoge to koi mil hi jaayega,
Magar kaun hamaari tarah tumahe chaahe ga,
Tumhe jaroor koi chaahto se dekhega,
Magar wo aankhen hamaari kahan se laaye ga.
~`~
Kisi ko mohabbat ki achaayi ne maar dala,
Kisi ko mohabbat ki gehraahi ne maar dala,
Bach na saka is mohabbat se koi,
Jo bach gaya use tanhaai ne maar dala.
~`~
Kisi bhi mod par ham aapko khone nahi denge,
Juda hona bhi chaahe, chaandni raato me,
Aayegi hamaari yaad, hamaari yaad ke wo pal,
Aapko sone nahi denge.
~`~
Khushi aap ke liye-gam mere liye,
Jindagee aapake liye-maut mere liye,
Muskurana aap ke liye-aansu mere liye,
Sab kuch aapke liye or aap mere liye.
~`~
Tanhaaiyo me jikra tera hi aaya hai,
Tu nahi jaanti tujhme main kya paya hai,
Phoolo sa sundar rishta hai aur ek aapka waqt hai jisme,
Hame yaad karne wala pal hi nahi aata?

Neha Shah

1. Aayana karo tum yaadoN me itna
ke hum sochna hi band kardey
ho sake to is dil se chaley jana
ke sukoon se hum saansey chodey.

2. Mere saasoN me saansey bharti hai
Mere badan me woh simat jaathi hai
Woh phursat ki har ghadi yaad aathi hai
jab humari pyaar ko woh zulfoN se chupathi hai.

Jagadish Chandra

Hello friends, Enjoy this one and pls let me know how do u like it…..

“Raakh ke is dher pe aanchal se apni hava na kar,
Hai chingari isme dabi huvi aanchal tera jal jayega.”

Shashank :)

Saari duniya to thi mere janaaje ke piche,
Ek vo hi nahi tha mere janaaje ke piche,
Ho bhi to kaise,
Uska janaaja bhi tha mere janaaje ke peeche…
`
Chale bhi aao ki ham tumse pyaar karte hai,
Ye vo gunaah hai jo ham baar-baar karte hai,
Log maut tak hi dildaar ki raah taakte hai,
Ham hai ki kabr me bhi tera intajaar karte hai…
`
Maut pe hame yakeen hai, unpe bhi hame aitbaar hai,
Ab dekhna hai ki kaun aata hai pahle,
Hame to dono ka intajaar hai…
`
Aansuo ko bahut samajhaya, tanhaai me aaya karo,
Mahfil me yun hamara majaak na udaya karo,
Aansu tadap ke bole mahafil me aapko tanha paate hai,
Isaliye ham chale aate hai…
`
Hamne maanga tha saath uska,
Wo judaai ka gam de gaya,
Ham to yaadon ke sahaare hi jee lete,
Par vo na bhul jaane ki kasam de gaya…
`
Chaahne se koi cheej apni nahi hoti,
Har muskuraahat khushi nahi hoti,
Kahna to chaahte hai bahut kuch,
Magar kabhi waqt to kabhi jubaan saath nahi hoti…
`
Ae musaafir ham bhi chale the kabhi un raaho par,
sajaaye the hamne bhi aakhon ke saajh par kuch sapne,
Lut gaye ham unhi se jo the kabhi mere apne…
`
Jab sooraj dhalta hai to aasmaan ka rang badal jata hai,
Jab kismat badalti hai to logo ka dhang badal jata hai,
Din dhalte-dhalte sooraj bhi dhal jata hai,
Andhera hote-hote saya bhi chod jata hai…
`
Aaj arse baad jab suni uski aawaaj,
To laga ki mere bahut paas hai wo,
Ho gai nam ye aankhen jab hosh aaya aur paya ki
Kabhi na poori hone waali aas hai wo.
`
Kitni jaldi ye mulakaat gujar jaati hai,
Pyaas bujhati nahi ki barsaat gujar jaati hai,
Apni yaado se kah do ki yu na aaya kare,
Neend aati nahi aur raat gujar jaati hai.
`
Bahut tamanna thi, rishto ka aashiyaan bana ne ki,
Bana chuke to lag gayi najar jamaane ki,
Usi ka karj hai jo aaj hai aankhon me aansu,
Saja mili hai hame muskurane ki…
`
Pee hai sharaab har gali har mahkhaane se,
Ek dosti si ho gayi hai sharaab ke jaam se,
Gujre hai ham kuch aise mukaam se ki nafrat
Si ho gayi mohabbat ke naam se.
`
Ham raah me khadi imaarat ko manjil samajh baithe,
Chamakne waale patthar ko sona samajh baithe,
Wo to is dil ke rishte ko samajh hi na sake
Aur ham use khuda samajh baithe.
`
Ae kaash shaayri ham bhi likh paate,
Lafjo ke khel ham bhi khel paate,
Khuda ne dil par chot kuch aisi di,
Aasuo ko chupaake kaash ham bhi muskura paate.
`
Kaash ye pal yahi rook jaaye,
Aap se mile ham daude chale aaye,
Ae khuda ek kaam yah bhi kiya hota,
Ek dil is bedard waqt ko bhi diya hota.
`
Ye sach hai ki aa jaata hai shohrat ka asar,
Insaan to kya farishte bhi badal jaate hai,
Aur bewafa badle ye na badle,
Waqt aane par vafadaar bhi badal jaate hai.
`
Dosti ke naam pe deewaane chale aate hai,
Shama ke peeche parwaane chale aate hai,
Tumhe yaad na aayi khair,
Aana meri maut par, us din to begaane bhi chale aate hai.
`
Aap ki baddua bhi dua ban ke lagi,
Aapke har gam ne bhi sakoon diya,
Ham jinda hai to yah jaankar ki pyaar se na sahi par,
Aapne hame yaad to kiya…
`
Wo aai nahi kabhi mujhe yaad karke,
Wo gayi jab bhi mujhe barbaad karke,
Agar wo aaye meri maut pe to use kah dena,
Abhi soya hai tujhe yaad karke…
`
Apni wo mulakaat kuch adhoori-si lagi,
Paas ho ke bhi thodi doori si lagi,
Hothon pe hasi aankhon me majboori si lagi,
Jindagi me pahli baar kisi ki doori si lagi.
`
Cheej bewafaai se badkar kya hogi,
Gam-e-haalaat judaai se badkar kya hogi?
Jise deni ho saja umra bhar ke liye,
Saja tanhaai se badkar kya hogi?
`
Samet lo in haste huye naajuk palon ko,
Na jaane ye lamhe kal ho na ho?
Ho bhi ye lamhe to kya maaloom,
Shaamil un palon me ham ho na ho…?
`
Ek tooti hui janjeer ki fariyaad hai ham,
Aur duniya ye samajhati hai ki aajaad hai ham,
Is aashiqi ne kya diya hai hamko,
Kal bhi barbaad the, aur aaj bhi barbaad hai ham…
`
Kaash banaane waale ne dil kaanch ke banaaye hote,
Kasam khuda ki todne waale ke haatho me jakhm to aaye hote…
`
Apno ne jahar ka jaam de diya,
Gairo ne bewafa ka naam de diya,
Jo kahta thai hame bhool na jana,
Usi ne bhoolne ka paigaam de diya…
`
Murjha gaya phool par bahaar wahi hai,
Door rahte hai par pyaar wahi hai,
Jaante hai mil nahi pa rahe aapse,
Magar in aankhon intjaar wahi hai…
`
Mahfil saji thi jaam ka tha daur,
Jaam me kya tha ye kisne kiya tha gaur?
Jaam me tha lahu mere armaano ka,
Aur sab kah rahe the ek aur ek aur…!
`
Mera jaam hai khaali,
To koi baat nahi,
Ye aitbaar to hai ki,
Poora mahkhana apna hai…
`
Aasmaan ko pata tha ki raat kya hoti hai,
Jubaan ko pata tha ki baat kya hoti hai,
Ab tak anjaan tha jin thapedo se mai,
Wo bewafa bata gayi ki bewafaai kya hoti hai?
`
Haatho se gir gayi lakeere kahi,
Bhool aaye ham apni takdeere kahi,
Bhool aaye ham apni takdeere kahi,
Agar tumhe kahi mile to utha lena,
Mere hisse ki saari khushiya apne haatho me saja lena.
`
Gam is kadar mila ki ghabra ke pi gaye,
Khushi thodi si mili ki mila ke pi gaye,
Yu to na the ham peene ke aadi,
Sharaab ko tanha dekha, to taras kha ke pi gaye.
`
Dil me intajaar ki lakeer chod jaayenge,
Aankhon me yaado ki nami chod jaayenge,
Dhoondhte firoge hame ek din,
Jindagi me ek yaar ki kami chod jaayenge…
`
Fareb tha uski hasi me ham aashiqi samajh baithe,
Maut ko ham apni jindagi samajh baithe,
Waqt ka majaak tha ya badnaseebi meri,
Uski do baato ko ham chaahat samajh baithe.
`
Tanhaai ko hamdam ki jaroorat hai,
Har jakhm ko marham ki jaroorat hai,
Muddat se bechain hai jee apna,
Shaayad ek naye gam ki jaroorat hai…
`
Unke chehare ko aankhon se hata na sake,
Dil ki betaabi dikha na sake,
Kitni dilchasp hai mohabbat ki majboori,
Saamne manjil thi par kadam badh na sake.
`
Apni jindagi se kuch pal de de mujhe,
Aaj na sahi to apna kal de de mujhe,
Khushi de ya na de marji teri,
Apne dukh aur dard tu chal de de mujhe…
`
Is do pal ki jindagi me tanhaai kyon hai,
Logo ko hamse rooswaai kyon hai?
Is duniya me insaan kam nahi hai,
Phir hamaare saath sirf hamaari parchaai hai?
`
Dosti ki judaai ka gam mat karna,
Door rahke bhi dosti kam mat karna,
Agar mile jindagi ke kisi mod pe,
To hame dekhakar aankhen band mat karna.
`
Jakhm dene ka andaaj kuch aisa hai,
Jakhm dekar poochate hai ab haal kaisa hai,
Kisi ek se gila kya karna,
Saari duniya ka mijaaj ek jaisa hai.
`
Phool sookh jaate hai ek waqt ke baad,
Log badal jaate hai ek waqt ke baad,
Apni dosti bhi tootegi ek waqt ke baad lekin
Wo waqt aayega meri maut ke baad…
`
Mohabbat ek aisi cheej hai jo har gam bhula deti hai,
Magar kismat saath na de to mohabbat bhi daga de jaati hai.
`
Bina dard ke aansu bahaaye nahi jaate,
Bina pyaar ke rishte nibhaaye nahi jaate,
Ae dost ek baat yaad rakhna,
Bina dil diye dil paaye bhi nahi jaate.
`
Na kabhi muskurahat aapke hothon se door ho,
Aapki har khwaahish hakeekat ko manjoor ho,
Ho jaaye jo aap mujhse khafa,
Khuda na kare mujhse kabhi aisi kasoor ho.
`
Gam ki aahat bhi na aaye tere dar par,
Pyaar ke samundar ka tu bhi ek kinara ho,
Kabhi bhool se jo tapke teri aankhon se moti,
Thame wo jo tujhe sabse pyara ho.
`
Ye raat itni tanha kyon hoti hai,
Kismat se apni sabko shikayat kyon hoti hai?
Ajeeb khel khelti hai kismat,
Jise ham pa nahi sakte usi se mohabbat kyon hoti hai?

Neha Shah

Wada kero per nibhana sikho
Chahat dil mein rakho per jitna sikho
U hi kisi ko intizar na karvao
Koi ager pyar se SMS kare to jawab dena sikho…

Next Page »

Our Privacy Policy recognizes that your privacy is important.