Sun 12 Sep 2010

Kaise sukoon paau tujhe dekhne k baad..
Kya gazal sunaau tujhe dekhne k baad..
Aawaz de rahi hai meri zindgi mujhe..
Jaau na jaau main tujhe dekhne ke baad…
Sun 12 Sep 2010

Kaise sukoon paau tujhe dekhne k baad..
Kya gazal sunaau tujhe dekhne k baad..
Aawaz de rahi hai meri zindgi mujhe..
Jaau na jaau main tujhe dekhne ke baad…
Thu 29 Jul 2010
Shayad yeh waqt humse koi chaal chal gaya,
rishta wafa ka aur hi rangon mein dhal gaya,
ashqon ki chandni se thi behtar woh dhoop hi,
uss modd se shuru kare phir se zindagi…
Thu 29 Jul 2010
Ahista ahista aapka yakeen karne lage hain….
Ahista ahista aapke kareeb aane lage hain…
Dil tho dene se ghabraathe hain…
Magar ahista ahista aapke dil ki kadar karne lage hain….
Aapse kaha nahi kuch humne…
Magar ahista ahista aapke lafzon per aetebaar karne lage hain…
Aapka dil dharaktha hai tho…
Ahista ahista humme wo dharkane sunaaye dene lagthi hain…
Aapki aankhon mein jo mohabbat hai…
Ahista ahista wo humme nazar aane lagi hai…
Aapse milkar yaad aane lagi wo beethi hui baatein…
Magar ab ahista ahista bhulaane lage hain hum wo dard ka ehsas….
Najaane kyun badal ne lagi hai yeh soch hamaari…
Magar ahista ahista saare shikwe gile mitne lage hain…
Sun 11 Jul 2010
Oas ki boond si hoti hai betiyan..
sparsh khurdara ho to roti hai betiyan..
roshan karega beta to ek kul ko…
do do kulon ko ki laj hoti hai betiyan…
koi nahi hai ek dusre se kam..
heera agar hai beta..
to sucha moti hai betiyan..
kanton ki rah par yeh khud hi chalti hai…
auron ke liye phool hoti hai betiyan..
vidhi ka vidhan hai..
yahi dunia ki rasam hai..
muthi bhar neer si hoti hai betiyan…
Fri 28 May 2010
Tapte huve hai dil tadpenge kya kare
Yaden ik jahar hai peete hai kya kare
Tumko har janam me mange.ge bar bar
Tum na suno to tumhi batao kya kare
Phursat mile jo tumko kabhi humse aake mil
Hur pal tum hi tum ho batao ki kya kare
Apni ankhon me chhupa le ya tumhare dil me chhup jayen
Tum hi jab pass na aao to kya karen.
Mangla.
Thu 27 May 2010
Dushman bhi pesh aaye hai dildar ki tarah,,
Nafrat milee hai unse mujhe pyaar ki tarah.
Kaise milenge chanhne wale bataiye,
Duniya khadi hai rah mein deewarki tarah.
Woh bewafai kar ke bhi sharminda na hue,
Sooli pe hum chadhe hai gunahgar ki tarah.
Toofon mein mujh ko chod kar woh log chal diye,
Sahil pe they jo sath mein patwar ki tarah.
Chehre pe hadsoo ne likheen woh ibaratein.
Padhane laga har koi mujhe akhbar ke tarah.
Dushman bhi hoo gaye hain maseeha sifat Jamal
Milte hain toot kar woh gale yaar ki tarah.
Dushman bhi….
Sun 23 May 2010
Khila phool bagiya meheki
Yeh to duniyaka hai dastoor
Agar bhanware mandarane lage
To ismein phoolka kya kasoor?
Phoolko kya pata bhanwareki gunjanka
Woh to tha apnihi dhunmein choor
Agar bhanwareko lagta hai bura
To chala jaye woh us phoolse door