Muskura do jara khuda ke vaste
sama-e-mahefil mai rosni kam hai
tum hamare nahi too kya gum hai
hum tumhare to hai ye kya kam hai?

yeh khamosi ka razz hum jante hain
yun chup rahene ka andaz hum jante hain
yakeen nehi ata to apne dil se pucho
app se bahetar app ko hum jante hain

Raat gumanam hoti hai,
Din kisi ke naam hota hai,
Hum jite hai kuch is tarah,
Har lamha aapake naam hota hai.
Chale aao hum tumhe yaad karte hai,
ye woh gunaah hai jo hum baar-baar karte hai,
jala ke dil me hasraton ke chirag,
apke aane ka intezaar karte hai.

Falak Ke Teer Ka Kya Nishana Tha
Idhar Mera Ghar, Udhar Uska Aaashiyana Tha
Puhunch Rahi Thi Kinare Pe Kashti-E-Umeed
Usi Waqt Is Tofaan Ko Bhi Yahaan Aana Tha

Darte Hain Aag Se, Kahin Hath Na Jal Jaye…..
Darte Hain Waqt se, Kahin Der Na Ho Jaye…
Darte Hain Maut se, Kahin Hum Bichadd Na Jayen…
Darte Hain Aapse, Kahin Pyaar Na Ho Jaye………..

Yaad karte hain aapko tanhai mein,
Dil dooba hai ghamon ki gherai mein,
Humein mat dhoondo duniya ki bheed main,
Hum milenge aapko apki parchai main.

Suraj se kaho chamakana chod de,
sitaro se kaho timtimana chode do,
Tum milne nahi aasakte ho to,
apni yado se kaho ki yun satana chod de.
Nadiyon se kinare chhut jate hai,
Asman se tare tut jate hai,
zindagi ki rah me aksar aisa hota hai,
jinhe ham chhate hai,wahi hum se ruth jate hai.

Jab bhi Aapko Phool dena chaha,
Kaanton ka Guldasta thama dala,
Par Aapke PYAR ka kya kehna,
Aapne Kaanton ko bhi Phool bana dala