ek muddat hui dil ko sataati rahi teri yaad
ansoo ban lahu mein ghul jaati rahi teri yaad
  
  subah ko lalima ban chhaa jaati rahi teri yaad
dhoop mein saya ban saath chalti rahi teri yaad
  
  dopahar ko chhaya ban taaseer dilaati rahi teri yaad
shaam ko hawa ka jhonka ban lubhaati rahi teri yaad
  
  raat ke andhere mein jugnoo ban chamkti rahi teri yaad
aasmaan mein taaron sang tim timaati rahi teri yaad
  
  chandani ban zamin ko nahlaati rahi teri yaad
roz khwab ban teri deed karati rahi teri yaad
  
  garmi mein hawa ka jhonka ban aa jaati rahi teri yaad
indradhanush ke rangon mein rang jaati rahi teri yaad
  
  sardi mein khili dhoop si chamakti rahi teri yaad
pahaadon par barf ban bichh jaati rahi teri yaad
  
  phoolon par titali ban mandraati rahi teri yaad
hawa ko khushboo ban mahakaati rahi teri yaad
  
  belon ko sahara ban badhaati rahi teri yaad
baagon ko bahaar ban sajaati rahi teri yaad
  
  holi mein gulal ban rang udaaati rahi teri yaad
diwali mein chiraaj ban ujale failati rahi teri yaad
  
  eid mein chaand ban khushiyaan lutati rahi teri yaad
christmas mein santa ban tohfe baanti rahi teri yaad
  
  thak gaya to dil bahlaane aa jaati rahi teri yaad
chot khaayi to sahlaane aa jaati rahi teri yaad
  
  rooth gaya to manane aa jaati rahi teri yaad
gir gaya to uthaane aa jaati rahi teri yaad
  
  sone chala to lori sunane aa jaati rahi teri yaad
rone laga to hansaane aa jaati rahi teri yaad
  
  jeet gaya to jashn manane aa jaati rahi teri yaad
haar gaya to samjhaane aa jaati rahi teri yaad
  
  mahfil mein raunak ban chhaa jaati rahi teri yaad
tanhaayi mein saath nibhaane aa jaati rahi teri yaad
  
  mere har zarra-o-katre mein basi hui hai teri yaad
meri gazal se rooh tak utar rahi hai teri yaad
  
  maut ke baad bhi “khaaq” se na juda hogi teri yaad
khshboo ban har taraf fiza mein mahka karegi teri yaad