Sun 11 Mar 2007
Aaj mera dil bahot udaas hai kiunki wo chala gaya hai
mujhse rooth kar main uski raah tak rahi hoon
ke shayad wo aaajaye hawa hai thandi thandi
fiza hai bhini bhini kitna khushgawar mausam hai
jaise door kahin gubaar uth raha hai shayad
wo aaraha haimain dorh kar jaati hoon
seene se lag jaati hoon ab na jaana chorkar
mujhko main udaas hoti jati hoon ek aahat
per main chonkti hoon or ye to khayaal hai mera
wo nahi ayega kiunki wo bhahotm bedard hai
us bedard ko nahi maloom dard kisi ka
wo kiya jaane bedard alam kisi ki bekasi ka
aise to bas door reh kar tarpana hi aata hai
koi deewana kiya jaane mohabbat main maza kiya hai
Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.