Yaad teri aaye tu phir kya karoonga main
tanhai mein beth kar phir rooya karoonga main

aghar naseeb ney kardiya eik dosre se juda hum ko
raaton ko na phir sooya karoonga main

zahar peeta jaoonga aansoo ka tamaam umar
aur tujh ko sada khush rehna ki dua karoonga main

aghar mil gayee himmat mujhe sambhalne ki
toote huwa dil ko phir milaya karoonga main

Syed Bilal